Apne Baccho Se Milane Maa Aayi (अपने बच्चों से मिलने माँ आई: भजन)


Maa Ko Manalo Dil Se Rijhalo,
Dekho Khushiyo Ki Bela Hai Aae,
Aae Re Aae Hoke Sinh Pe Sawar,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae ॥
Sunke Pukar Aae Bachcho Ke Dwar,
Dekho Khushiyan Lutane Hai Aae,
Bhule Sare Gum Hoke Mast Magan,
Sab Jhoomo Naacho Gao Badhae,
Baji Khushiyo Ki Taal,
Jisape Jhooma Sansar,
Kahi Prem Shradha Ki Shahanai,
Aae Re Aae Hoke Sinh Pe Sawar,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae ॥

Chuda Bhi Laal Maa Ki Chunar Bhi Laal,
Badi Pyari Lage Maiya Rani,
Maiya Ke Naino Se Karuna Bahe,
Maa To Mamta Ki Murat Suhani,
Bachcho Ki Pyari,
Maa To Hai Jag Se Nyari,
Wo To Har Ek Ke Dil Mein Samae,
Aae Re Aae Hoke Sinh Pe Sawar,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae ॥

Mat Ho Udaas Maa Ke Charanon Ke Paas,
Jake Apane Tu Dil Ki Sunana,
Mit Jaye Tere Saare Dil Ke Jakhm,
Maa Luta Degi Pyar Ka Khajana,
‘Shyaman’ Ki Arji Na Karu Khudagarji,
Mere Sar Par Ho Krupa Sada Hi,
Aae Re Aae Hoke Sinh Pe Sawar,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae ॥

Maa Ko Manalo Dil Se Rijhalo,
Dekho Khushiyo Ki Bela Hai Aae,
Aae Re Aae Hoke Sinh Pe Sawar,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae,
Apane Bachcho Se Milane Maa Aae ॥
अपने बच्चों से मिलने माँ आई: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ को मनालो दिल से रिझालो, देखो खुशियो की बेला है आई, आई रे आई होके सिंह पे सवार, अपने बच्चो से मिलने माँ आई, अपने बच्चों से मिलने माँ आई ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Jai Ganesh Gauri Nandan

Jai Ganesh Gauri nandan Din Ke Dayala, Bhakton Ke Antar Mein Kijiye Ujala, Jai Ganesh Gauri Nandan ॥

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare | Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana

Gaiye Ganpati Jagvandan Shankar Suwan

Gaiye Ganpati Jagvandan, Shankar Suwan Bhawani Nandan, Ganpati Jagvandan,
Gaiye Ganpati Jagvandan ॥

Om Jai Gauri Nanda

Om Jai Gauri Nanda, Prabhu Jai Gauri Nanda, Ganpati Anand Kanda, Ganpati Anand Kanda, Main Charnan Vanda, Om Jai Gauri Nanda ॥