Apne Rang Ranglo Gajanan (अपने रंग रंगलो गजानन: भजन)


Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya,
Dil Tumhara Ho Gaya Deva,
Dil Tumhara Ho Gaya,
Kuch Raha Na Mujh Main Mera,
Sab Tumhara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥
Har Taraph Kali Ghataen,
Chhae Andheri Raat Thi,
Bich Bhanvar Doli Thi Naiya,
Tu Kinaara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Har Japun Main Naam Tera,
Teri Chokhat Mil Jaye,
Tumane Rakh Diya Haath Sir Pe,
Kya Nazaara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Sanso Ki Mala Bana Ke,
Arpan Kar Dun Main Tujhe,
Jabase Dekhi Surat Ye Teri,
Jag Se Pyaara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Mushak Chadh Aao O Deva,
Maan Mein Darash Ki Pyaas Jagi,
‘Archu’ Tadape Hai Tum Bin,
Jaan Se Pyaara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥

Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya,
Dil Tumhara Ho Gaya Deva,
Dil Tumhara Ho Gaya,
Kuch Raha Na Mujh Main Mera,
Sab Tumhara Ho Gaya,
Apane Rang Ranglo Gajanan,
Dil Tumhara Ho Gaya ॥
अपने रंग रंगलो गजानन: भजन - हिन्दी में पढ़ें
अपने रंग रंगलो गजानन, दिल तुम्हारा हो गया, दिल तुम्हारा हो गया देवा, दिल तुम्हारा हो गया, कुछ रहा ना मुझ में मेरा, सब तुम्हारा हो गया, अपने रंग रंगलों गजानन, दिल तुम्हारा हो गया ॥
Bhajan Diwali Lakshmi Ganesh Puja BhajanVighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganpati Ki Sewa Mangal Meva

Ganpati Ki Seva Mangal Meva,Seva Se Sab Vighn Tarain। Teen Lok Ke Sakal Devta,Dwar Khade Nit Arj Karain॥

Aaj Saje Hain Mere Ghar K Dware Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare

Aaj Saje Hain Mere Ghar Ke Dware, Aaj Vinayak Mere Aangan Padhare, Swagat Tumhara Hey Ganraja, Jaage Hain Bhag Humare

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...