Bajrang Bali Sankat Kato Mahabali (बजरंगबली संकट काटो महाबली - भजन)


Badal Dukh Ke Chhaye Hai Kale
Bankar Pawan Uda Do
Kadam Kadam Par Sankat Mere
Inse Jaan Chhuda Do
Utho Utho He Laal Anjani Paru Tumhare Paiya
Hai Patvaar Tere Hathon Mein Paar Karo Meri Naiya
Bajrang Bali Bajrang Bali,
Sankat Kato Mahabali
Jaago Pawan Putra Baldai
Sitaram Ki Tumhe Duhai
Teri Kripa Se Saari Musibat Bhakto Ki Hai Tali Tali.....
Bajrang Bali Bajrang Bali,
Sankat Kaato Mahabali

Jab Jab Sankat Ram Pe Aaya
Tumne Rudra Roop Dikhaya
Paar Gaye Tum Udakar Sagar Ke
Sita Ko Sandesh Sunaya
Ravan Ki Bagiya Ko Ujada
Akshay Patak Patak Ke Maara
Tere Samne Nahi Kisi Ki Ek Bhi Hai Chali Chali...
Bajrang Bali Bajrang Bali,
Sankat Kaato Mahabali

Na Koi Shak Hai। Na Koi Shanka
Ram Naam Ka। Bajaya Danka
Lage Cheekhne Ravan Ke Sipahi
Tumne Jalai Sone Ki Lanka
Sar Sar Hava Lagi Jab Chalne
Lanka Lagi Jor Se Jalne
Aag Phail Gai Bas Pal Bhar Mein
Bache Nagar Na Gali Gali..
Bajrang Bali Bajrang Bali,
Sankat Kaato Mahabali

Ram Naam Ka Jhanda Gaada
Chun Chun Karke, Dushton Ko Maara
Ram Siya Ki Chhavi Dikhai
Jab Apne Seene Ko Phaada
Sabki Bigdi Banane Wale
Peete Ram Naam Ras Pyale
Tumhe Pukare,, "Lahari" - "Bedhadak" Kar Meri Bhali
Bajrang Bali Bajrang Bali,
Sankat Kaato Mahabali
बजरंगबली संकट काटो महाबली - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बजरंग बली बजरंग बली संकट काटो महाबली, जागो पवन पुत्र बलदाई, सीताराम की तुम्हे दुहाई, तेरी कृपा से सारी मुसीबत भक्तो की है टली टली
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path BhajanLakhbir Singh Lakkha BhajanMaster Saleem BhajanUma Lahari Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Shankar Tum Kailashpati

Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi, Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Ram Ka

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Raam Ka, Gao Badhai Shubh Ghadi Aayi, Palan Palan Nisadin Ho Raha Sumiran..
Ek Hi Naam Ka

Main Do-Do Maa Ka Beta Hun

Main Do-do Maa Ka Beta Hun, Dono Maiya Badi Pyari Hai । Ek Mata Meri Janani Hai, Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥

Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu

Tere Charanon Main Sar Ko, Jhukata Rahun, Tu Bulata Rahe, Aur Main Aata Rahun ॥

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare, Ummid Lagaye, Na Jaane Mera, Laala Kab Aaye ॥