Beech Bhawar Mein Fasi Meri Naiya (बीच भंवर में फसी मेरी नैया - भजन)


Beech Bhawar Mein Fasi Meri Naiya,
Tumhi Ho Khivaiya Maa,
Tumhi Ho Khivaiya ॥
Tera Hi Bharosa Maa,
Tera Hi Sahara,
Tumhi Ko Pukara Maa,
Tumhi Ko Pukara,
Tere Hi Bharose Pe,
Chale Meri Naiya,
Tumhi Ho Khivaiya Maa,
Tumhi Ho Khivaiya ॥

Badi Tej Andhi,
Tuphanon Ne Ghera,
Bata Kun Hai Mera Maa,
Yaha kun Hai Mera,
Khadi Kya Hue Ke,
Chali Aa Tu Maiya,
Tumhi Ho Khivaiya Maa,
Tumhi Ho Khivaiya ॥

Suni Jab Jagat Ki,
Jhat Daudi Aae,
Patavar Haathon Le,
Kinare Lagae,
Badi Hi Dayalu Hai,
‘Pravin’ Meri Maiya,
Tumhi Ho Khivaiya Maa,
Tumhi Ho Khivaiya ॥

Beech Bhawar Mein Fasi Meri Naiya,
Tumhi Ho Khivaiya Maa,
Tumhi Ho Khivaiya ॥
बीच भंवर में फसी मेरी नैया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बीच भंवर में फसी मेरी नैया, तुम्ही हो खिवैया माँ, तुम्ही हो खिवैया ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko Ghar Ghar Me Pahuchana Hai

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko, Ghar Ghar Me Pahuchana Hai, Ram Naam Ki Bhakti Ko, Jan Jan Main Jagana Hai, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Bhagwa Rang Chadha Hai Aisa Aur Rang Na Bhayega

Bhagwa Rang Chadha Hai Aisa, Aur Rang Na Bhayega, Jay Shree Ram Ke Naam Ka Nara, Ghar Ghar Se Ab Ayega, Ayodha Ki Nagri Mein Ab, Kesariya Lehrayega, Kesariya Kesariya Mharo, kesariya kesariya ॥

Chola Maati Ke Hai Ram

Chola Mitti Ke Hai Ram, Ekar Ka Bharosa, Chola Mitti Ke Hai Re, Chola MItti Ke Hai Ho,
Hay Chola Mitti Ke Hai Ram, Ekar Ka Bharosa, Chola Mitti Ke Hai Re ॥

Bas Gaye Raghunandan Sharkar

Bas Gaye Raghunandan Sarakar, Ho Rahi Jag Mein Jay Jayakar, Mere Ram Mere Ram,
Mere Raghunandan Sarakaar, Bas Gaye Raghunandan Sarakar, Ho Rahi Jag Mein Jay Jayakar ॥

Sri Ram Dhun Mein Mann Tu

Shri Ram Dhun Mein Man Tu, Jab Tak Magan Na Hoga, Bhav Jaal Chhutne Ka, Tab Tak Jatan Na Hoga ॥