Bhole Teri Leela Anokhi (भोले तेरी लीला अनोखी: भजन)


Bhole Teri Leela Anokhi,
Shankar Teri Leela Anokhi,
Hai Gajab Ka Gola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥
Dum Dum Dum Dum Dumru Baje,
Dum Dum Dum Dum Dumru Baje,
Kale Naag Tere Sir Par Nache,
Kale Naag Tere Sir Par Nache,
Tan Pe Bhasm Lagane Wale,
Liye Haath Main Jhola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥

Shiv Jata Sawan Ki Ghata Hai,
Shiv Jata Sawan Ki Ghata Hai,
Lalat Upar Chandra Chadha Hai,
Bhole Lalat Upar Chandra Chadha Hai,
Ganga Sir Pe Jhirmir Bahati,
Liye Bhang Ka Gola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥

Kailash Upar Rahne Wale,
Kailash Upar Rahne Wale,
Bhakton Ke Dukh Harne Wale,
Bhakton Ke Dukh Harne Wale,
Kaam Dev Ko Bhashm Kiya,
Aur Tisra Netra Khola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥

Daya Karo Dinon Ke Data,
Daya Karo Dinon Ke Data,
Tum Ho Pita Tumhi Ho Maata,
Tum Ho Pita Tumhi Ho Maata,
Humne To Ab Pahan Liya Hai,
Bhole Tere Naam Ka Chola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥

Bhole Teri Leela Anokhi,
Shankar Teri Leela Anokhi,
Hai Gajab Ka Gola,
Shiv Bum Bum Bum Bum Bhola,
Shiv Bam Bam Bam Bam Bhola ॥
भोले तेरी लीला अनोखी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
भोले तेरी लीला अनोखी, शंकर तेरी लीला अनोखी, है गजब का गोला, शिव बम बम बम बम भोला, शिव बम बम बम बम भोला ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Bhole Teri Leela Anokhi Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥