Bigdi Banane Wali Kasht Mitane Wali (बिगड़ी बनाने वाली, कष्ट मिटाने वाली: भजन)


Bigdi Banane Wali,
Kasht Mitane Wali,
Duniya Mein Jagdambe Maa,
Apna Banane Wali,
Bhgya Jagane Wali,
Bas Ek Jagdambe Maa,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
Dur Kyun Rehta Hai,
Maa Ki Sharan Aaja,
Maa Ke Pe Hai Darwar,
Ranka Ho Ya Raja,
Bada Ho Ya Chota,
Khara Ho Ya Khota,
Maiya Ke Dar Se Wo,
Nahi Khali Louta,
Jo Bhi Shradha Se,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥

Mughal Sena Le Kar,
Raja Akbar Aaya,
Maa Ki Pawan Jyoti,
Wo Bujha Na Paya,
Maan Luta Akbar Ka,
Sawali Ban Gaya Dar ka,
Chumkar Chokhat Sewak,
Bana Meri Maa Ka Ghar Ka,
Chatra Sone Ka,
Akbar Chadhata Hai,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥

Ai ‘Anjum’ Duniya Mein,
Maa Ki Kya Shan Hai,
Ho Nirdhan Ya Balwan,
Mile Sabko Maan Hai,
Jisne Bhi Maa Ko Manaya,
Muhn Manga Usne Paya,
Mano Kismat Ka Taala,
Maa Ke Dar Pe Khulwaya,
Tabhi To Ye ‘Lakkha’,
Maa Ke Gun Gata Hai,
Aaj Jagrata Hai,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥

Bigdi Banane Wali,
Kasht Mitane Wali,
Duniya Mein Jagdambe Maa,
Apna Banane Wali,
Bhgya Jagane Wali,
Bas Ek Jagdambe Maa,
Sherowali Ka Aaj Jagrata Hai,
Ambe Rani Ka Aaj Jagrata Hai ॥
बिगड़ी बनाने वाली, कष्ट मिटाने वाली: भजन - हिन्दी में पढ़ें
बिगड़ी बनाने वाली, कष्ट मिटाने वाली, दुनिया में जगदंबे माँ, अपना बनाने वाली, भाग्य जगाने वाली, बस एक जगदंबे माँ, शेरावाली का आज जगराता है, अम्बे रानी का आज जगराता है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Dam Dam Dam Damru Wala Shiv Mera Bhola Bhala

Dam Dam Dam Damru Wala, Shiv Mera Bhola Bhala, Gaura Hai Sang Biraje, Nandi Mein Ganapati Lalla,
Shiv Sa Gyani Koi, Shiv Ji Ke Dar Pe Aaja, Ke Matavala, Dam Dam Dam Damru Wala, Shiv Mera Bhola Bhala ॥

Kholo Samadhi Bhole Shankar Mujhe Darsh Dikhao

Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao, Iss Jag Ki Jhoothi Maya, Se Mujhko Bachao, Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao ॥

Bhole Ki Kripa Se Hamare Thaat Nirale Hai

Bhole Ki Kripa Se Hamare, Thaath Nirale Hai, Hum Baba Wale Hai, Suno Ji Hum Baba Wale Hai ॥

Namo Namo

Namo Vishwakarta, Namo Vighnaharta, Namo Shantakaram, Namo Nirvikaram, Ye Dharti Ye Ambar, Ye Dariya Samandar
Ye Dilkash Nazare, Sabhi Hai Tumhare, Namo, Namo, Namo, Namo, Namo, Namo ॥

Ek Jogi Aayori Tere Dwar

Ek Jogi Aaye Ri Tere Dwar, Dikha De Mukh Laal Ka, O Maiya Dikha De Mukh Laal Ka,
Tere Palne Main Palan Haar, Dikha De Mukh Laal Ka, Dikha De Mukh Laal Ka ॥