Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya (बृज के नंदलाला राधा के सांवरिया - भजन)


Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya,
Sabhi Dukh Door Hue, Jab Tera Naam Liya ।
Meera Pukari Jab Girdhar Gopal,
Dhal Gaya Amrit Mein Vish Ka Bhara Pyala ।
Kaun Mitae Use, Jise Tu Rakhe Piya,
Sabhi Dukh Door Hue, Jab Tera Naam Liya ॥
॥ Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya… ॥

Jab Teri Gokul Pe Aaya Dukh Bhari,
Ek Ishare Se Sab Vipda Tari ।
Mud Gaya Govardhan Tune Jahan Mod Diya,
Sabhi Dukh Door Hue, Jab Tera Naam Liya ॥
॥ Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya… ॥

Naino Mein Shyam Base, Man Mein Banwari,
Sudh Bisrayegi Murali Ki Dhun Pyari ।
Man Ke Madhuban Mein Raas Rachae Rasiya,
Sabhi Dukh Door Hue, Jab Tera Naam Liya ॥
॥ Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya… ॥

Brij Ke Nandlala Radha Ke Sanwariya,
Sabhi Dukh Door Hue, Jab Tera Naam Liya ।
बृज के नंदलाला राधा के सांवरिया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बृज के नंदलाला राधा के सांवरिया, सभी दुःख दूर हुए, जब तेरा नाम लिया। मीरा पुकारी...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanRadha Krishna Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥