Dadi Charno Mein Tere Padi Maiya (दादी चरणों में तेरे पड़ी, मैया: भजन)


Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Haath Kirpa Ka Rakh Do Jara,
Haath Kirpa Ka Rakh Do Jara,
Lagi Naino Mein Asuvan Jhadi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi ॥
Main To Dukhado Se Hari Hun Maa,
Thodi Mujh Pe Inayat Bhi Ho,
Tere Charanon Mein Main Rah Sakun,
Mujhko Itni Ijajat Maa Ho,
Teri Darkar Mujhko Badi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi ॥

Dhup Mein Main Gamon Ki Jali,
De De Anchal Ki Chhaiya Mujhe,
Ghaaw Dil Pe Hajaro Lage,
Dadi Kese Dikhaun Tujhe,
Meri Ankhiyon Mein Pida Bhari,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi ॥

‘Harsh’ Tere Siva Mainne To,
Maa Kisi Ko Pukara Nahi,
Teri ‘Swati’ Agar Roe To,
Maiya Tujhko Gawara Nahi,
Teri Chokhat Mein Najre Gadi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi ॥

Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Haath Kirpa Ka Rakh Do Jara,
Haath Kirpa Ka Rakh Do Jara,
Lagi Naino Mein Asuvan Jhadi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi,
Dadi Charno Mein Tere Padi,
Maiya Tujhko Niharun Khadi ॥
दादी चरणों में तेरे पड़ी, मैया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
दादी चरणों में तेरे पड़ी, मैया तुझको निहारूं खड़ी, हाथ किरपा का रख दे जरा, हाथ किरपा का रख दे जरा, लागि नैनो में असुवन झड़ी, मैया तुझको निहारूं खड़ी, दादी चरणो में तेरे पड़ी, मैया तुझको निहारूं खड़ी ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radhe Pooch Rahi Tulsa Se

Radhe Puchh Rahi Tulsa Se, Tulsa Kahan Tera Sasural । Kahan Tera Sasural Tulsa, Kaun Tere Bhartaar ।

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Main Nahi Mera Nahi Ye Tan

Main Nahin, Mera Nahin, Yah Tan Kisi Ka Hai Diya । Jo Bhi Apne Paas Hai..

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare | Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..