Duniya Ka Bankar Dekh Liya ,
Ab Shyam Ka Bankar Dekh Jara ,
Na Bhatkega Tu Raah Kabhi ,
Is Raah Pe Chalkar Dekh Jara ,
Duniya Ka Bankar Dekh Liya ,
Ab Shyam Ka Bankar Dekh Jara ,
Rishto Ne Diya Dhokha ,
Apnon Ne Dukhaya Dil ,
Chal Bhool Ja Sab Baaten,
Tu Shyam Se Aakar Mil,
Mera Shyam Tujhe Apnyega ,
Tu Radha Kahkar Dekh Jara,
Duniya Ka Bankar Dekh Liya ,
Ab Shyam Ka Bankar Dekh Jara ,
Jisne Bhi Jap Radha ,
Uski to Hati Badha ,
Usko Mil Gaya Shyam ,
Usko Mili Radha ,
Mera Shyam Tujhe Mil Jayega,
Tu Uska Bankar Dekh Jara ,
Duniya Ka Bankar Dekh Liya ,
Ab Shyam Ka Bankar Dekh Jara ,
Meera Ko Mile Mohan ,
Sabri Ko Mile Hain Ram ,
in Donon Bhakton Ka ,
Jag Mein Amar Hain Naam ,
Tera Naam Amar Ho Jayega ,
Tu Bhakti Kar Ke Dekh Jara ,
Duniya Ka Bankar Dekh Liya ,
Ab Shyam Ka Bankar Dekh Jara…