Bharat Ki Is Dev Dara Ko, Jane Sab Sansar,
Samay Samay Yahan Hote Rahte, Ishwar Ke Avtar,
Salasar Mein Bajrang Bala, Ram Bhakt Hanuman,
Madhup Krishna Hari Khatu Pragate, Ban Ke Shyam Bhagwan.
Kalyug Ke Prataksh Devta, Donon Dev Mahan,
Ek Hai.. Jai Ho...
Ek Hai Baba Khatu Shyam, Ek Hai Bala Ji Hanuman....
Hanuman Shankar Avtari, Baba Shyam Hai Krishna Murari,
Donon Hi Dete Hai Sabko, Muh Manga Vardan,
Ek Hai Baba Khatu Shyam, Ek Hai Bala Ji Hanuman....
Baba Shyam Haare Ke Sahare, Hanumat Ram Ke Kaaj Savare,
Atulit Bal Ke Dham Hai Donon, Donon Maha Balwan,
Ek Hai Baba Khatu Shyam, Ek Hai Bala Ji Hanuman....
Bhaktibharat Lyrics
Baba Shyam Khatu Ke Raji, Salasar Hanuman Viraje,
Baba Naam Se Jaane Jate, Donon Sant Sajan,
Ek Hai Baba Khatu Shyam, Ek Hai Bala Ji Hanuman....
Bhav Ko Pyar Se Shyam Manave, Asu Chitr Bala Man Bhave,
Bade Hi Mashhur Madhup Ye, Donon Siddh Sthan,
Ek Hai Baba Khatu Shyam, Ek Hai Bala Ji Hanuman....