Gajara Gir Gaya Jamuna Jal Me (गजरा गिर गया जमुना जल में - भजन)


Jamuna Ke Tat Par,
Maari Najariya Aisi Sanwariya Ne,
Ghayal Ho Gayi Pal Mein,
Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein,
Ki Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein ॥
Lene Gagariya Gayi Thi Bajariya,
Bajariya Mein Mil Gaya Vo,
Banke Sanwariya,
Gagri Meri Chheen Ke Usne,
Baiya Marodi,
Baiya Yoon Marod Ke Poochhe,
Kya Marzi Hai Teri,
Phir Aise Main Sharmai,
Nikla Vo to Harjayi,
Chali Gayi Ek Pal Mein,
Ki Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein ॥

Preet Mein Uske Aise Khoyi,
Na Mein Jaagi Na Mein Soi,
Mera Aanchal Payal Kajal,
Teeno Kar Gaya Ghayal,
Thar Thar Kaampe Meri Kaya,
Dol Raha Man Pagal,
Phir Kaate Kate Na Vo Raina,
Beri Chhin Ke Le Gayo Chaina,
Chali Gayi Ek Pal Mein,
Ki Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein ॥

Jamuna Ke Tat Par,
Maari Najariya Aisi Sanwariya Ne,
Ghayal Ho Gayi Pal Mein,
Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein,
Ki Gajra Gir Gaya Jamuna Jal Mein ॥
गजरा गिर गया जमुना जल में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जमुना के तट पर, मारी नजरिया ऐसी सांवरिया ने, घायल हो गई पल में, गजरा गिर गया जमुना जल में, की गजरा गिर गया जमुना जल में ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKrishn Janmasthami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhagwan Buddha Vandan

Namo Tass Bhagvato Arhato Samma Sambuddhass ।

Ujjain Ke Maharaj Ho Dino Ke Dinanath Ho

Ujjain Ke Maharaj Ho, Dino Ke Dinanath Ho, Tum Kalo Ke Kal Ho, Baba mahakal Ho ॥

Chali Paniya Bharan Shiv Naar

Ithalati Hui Bal Khati Hui, Chali Paniya Bharan Shiv Naar, Sagar Se Utri Gagariya ॥

Bhole Teri Nirali Shan

Bhole Teri Nirali Shan, Kare Jagat Ka Tu Kalyan, Sabko Saran Mein Rakhle Apni, Tujhsa Nahi Mahan, O Bhole Tera Jawab Kaha, Bhole Teri Nirali Shan ॥

Kaal Kya Karega Mahakal Ke Aage

Kar Lunga Do-do Baat Main, Us Kaal Ke Aage