Gyan Ka Daan Hi Sabse Bada Hai (ज्ञान का दान ही सबसे बड़ा हैं - वंदना)


Gyan Ka Daan Hi, Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Loote
Gyan Ka Daan Hi, Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Loote
Gyan Ka Rishta, Sachcha Rishta
Gyan Ka Rishta, Sachcha Rishta
Baaki Rishte Jhoothe
Jo Gyan Daan, De Jaata Hain
Vo Jag Mein Amar Kahlata Hain
Agyani Ka Jeevan Jaise
Deep Bina Moti Jaise
Ghar-ghar Mein Deep Jalaye
Gyan Ki Hi Jyoti Ke
Apne Lie Guru, Vidhata Hain Jo
Jag Mein Amar Kahlata Hain
Apne Lie Guru, Vidhata Hain Jo
Jag Mein Amar Kahlata Hain

Jo Gyan Daan, De Jaata Hain
Vo Jag Mein Amar Kahlata Hain
Jo Gyan Daan, De Jata Hain

Sab Dharmo Ka Palan Keeje
Manavta Kahati Hain
Kisi Ek Ki Nahin Ye Ganga
Sab Ke Lie Bahati Hai
Ye Jal Jeevan Mahakata Hain
Aur Mann Paavan Ho Jata Hain
Ye Jal Jeevan Mahakata Hain
Aur Man Paavan Ho Jata Hain

Jo Gyan Daan, De Jata Hain
Vo Jag Mein Amar Kahlata Hain
Jo Gyan Daan, De Jata Hain

Unka Jeena Kya Jeena Jo
Apne Lie Jeete Hain
Ek Dooje Ke Sukh-dukh Baante
Ek Dooje Ke Lie Hain
Jo Auron Ke Kaam Aata Hain
Vo Jeevan Ke Sukh Paata Hain
Jo Auron Ke Kaam Aata Hain
Vo Jeevan Ke Sukh Paata Hain
Gyan Ka Daan Hi
Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Lute
Gyan Ka Rishta Sachcha Rishta
Baaki Rishte Jhoothe

Jo Gyan Daan, De Jata Hain
Vo Jag Mein Amar Kahlata Hain
Jo Gyan Daan, De Jata Hain

Maali Ke Jaane Se Gulsan
Soona Ho Jayega
Lekin Har Bahar Ka Mausam
Rang Naye Layega
Koi Aata Hai, Koi Jaata Hai
Yun Waqt Gujarta Jata Hain
Koi Aata Hai, Koi Jata Hai
Yun Waqt Gujarta Jata Hain

Gyan Ka Daan Hi, Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Loote
Gyan Ka Daan Hi, Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Loote
Gyan Ka Rishta, Sachcha Rishta
Gyan Ka Rishta, Sachcha Rishta
Baaki Rishte Jhoothe
Gyan Ka Daan Hi, Sabse Bada Hain
Jise Koi Na Loote
ज्ञान का दान ही सबसे बड़ा हैं - वंदना - हिन्दी में पढ़ें
ज्ञान का दान ही, सबसे बड़ा हैं, जिसे कोई न लुटे, ज्ञान का दान ही..
Bhajan Arya Samaj BhajanVedik BhajanPrabhu BhajanAll Time BhajanSatsang BhajanLata Mangeshkar Bhajan

Other Popular Gyan Ka Daan Hi Sabse Bada Hai Video

Movie: Apne Apne 1987

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhakton Ke Ghar Kabhi Aao Ma

Aao Maan Aao Maan Aao Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aaon Maan, Parivar Tumhara Hai, Hamen Tera Hi Sahara Hai, Aaon Maan Aaon Maan Aaon Maan, Bhakto Ke Ghar Kabhi Aao Maan ॥

Meri Maiya Tere Darbar Ye Diwane Aaye Hai

Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye, Bhakti Mein Teri Doob Ke Ye,
Mastane Aaye Hai, Meri Maiya Tere Darbar Ye, Deewane Aaye Hai ॥

Maa Ka Naam Jape Ja Har Pal

Maan Ka Naam Jape Ja Har Pal, Laage Na Koi Mol Re, Jai Mata Di Bol Re Tu, Jai Mata Di Bol Re ॥

Bhagat Pukare Aaj Mawadi

Bhagat Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye, Duhkh Pave Hai Tabar Thara, Aake Kasht Mita Ja Ai, Bhakt Pukare Aaj Mawadi, Aake Laaj Bacha Ja Aye ॥

Kitna Sona Hai Darbar Bhawani Tera

Kitna Sona Hai Darbar, Bhawani Tera Ye Singar, Kitan Sona Hai, Tera Ye Darwar Bhawani, Tera Ye Singar, Kitna Sona Hai, O Maiya Tumko, Kisne Sajaya Hai, Tera Sundar Se Sundar, Darwar Banaya Hai ॥