Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam (हे नाम रे सबसे बड़ा तेरा नाम - भजन)


Kaal Ke Panje Se Mata Bachao,
Jai Maan Asht Bhawani,
Kaal Ke Panje Se Mata Bachao,
Jai Maan Asht Bhawani ।
Hey Naam Re Sabse Bada Tera Naam,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

Aisa Kathin Pal,
Aise Ghadi Hai,
Vipda Aan Padi Hai,
Tu Hi Dikha Ab Rasta,
Ye Duniya Rasta Roke Khadi Hai,
Mera Jeevan Bana Ik Sangram,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

Hey Naam Re Sabse Bada Tera Naam,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

Bhakton Ko Dushton Se Chhudaye,
Bujhti Jot Jagaye,
Jiska Nahin Hai Koi Jagat Mein,
Tu Uski Ban Jaye,
Teeno Lok Kare Tohe Pranam,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

Hey Naam Re Sabse Bada Tera Naam,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

Tu Hi Lene Wali Mata,
Tu Hi Dene Wali,
Teri Jai Jaikar Karoon Main,
Bharde Jholi Khali,
Kaam Saphal Ho Mera,
De Aisa Vardan,
Tere Bal Se Ho Jaye,
Nirbal Bhi Balwaan ।
Bich Bhanwar Me Daul Rahi Hai,
Paar Laga De Naiyya,
Jai Jagdambe Ashtbhawani,
Ambe Gauri Maiyya,
Kiski Bali Chadhau Tujhpe,
Tu Prasann Ho Jaye .
Dushman Thar-thar Kanpe Maan,
Jab Tu Gusse Mein Aaye ॥

Kaal Ke Panje Se Mata Bachao,
Jai Maan Asht Bhawani,
Kaal Ke Panje Se Mata Bachao,
Jai Maan Asht Bhawani ।

Hey Naam Re Sabse Bada Tera Naam,
O Sherowali,
Unche Deron Wali,
Bigde Bana De Mere Kaam ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
हे नाम रे सबसे बड़ा तेरा नाम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे नाम रे सबसे बड़ा तेरा नाम, ओ शेरोवाली, ऊँचे डेरों वाली,..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan

Other Popular Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam Video

By Sadho Band

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Bhajan: Kashi Wale Devghar Wale Jai Shambu

Kashi Vale Devghar Vale, Bhole Damroo Dhari । Khel Tere Hain Nirale, Shiv Shankar Tripurari ।

Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein

Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein, Kedaar Ho Ya Kashi, Dwadash Jyotirling Hai, Har Disha Mein Hai Kailashi, Shiv Hi Base Hai Kan Kan Mein, Kedaar Ho Ya Kashi ॥

Vasa Hai Bhagto Ke Dil Me Naam Bhole Nath Ka

Shiv Apnon Se Naam Suna Hai Tere Dhaam Ka, Vasa Hai Bhagto Ke Dil Mein Naam Bhole Naath Ka ॥

Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana Jag Ka Kya Pata

Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana, Jag Ka Kya Pata, Shivay Shiv Shiv Bol Mana, Tan Kya Pata, Bhole Bhole Bhole Bol Mana, Dhan Ka Kya Pata, Shambhu Shambhu Shambhu Bol Mana,
Jag Ka Kya Pata ॥