Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar (है पावन शिव का धाम हरिद्वार - भजन)


Kal Kal Kal Jahan Nirmal Bahati,
Maa Ganga Ki Dhar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar ॥
Vishnu Nakh Se Nikli Ganga,
Bramh-Kamandal Aae Ganga,
Shiv Ki Jata Samae Ganga,
Shiv Ki Jata Samae Ganga,
Sabka Kiya Udhar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridyar ॥

Gaumukh Se Chalti Ithlati,
Rshikesh Mein Ye Balakhati,
Har Ki Paudi Mein Phir Aati,
Har Ki Paudi Mein Phir Aati,
Banke Jag Ki kartar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridyar ॥

Ganga Shish Main Dhar Tripurari,
Kahlaye Phir Ganga Dhari,
Bhakt Jano Ki Naiya Tari,
Bhakt Jano Ki Naiya Tari,
Na Chodi Majdhar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridyar ॥

Kaliyug Main Jo Paar Ho Jana,
Ek Baar Haridwar To Aana,
Maa Ganga Mein Gote Lagana,
‘Chandan’ Ho Bhav Paar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridyar ॥

Kal Kal Kal Jahan Nirmal Bahati,
Maa Ganga Ki Dhar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar,
Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar ॥
है पावन शिव का धाम हरिद्वार - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कल कल कल जहाँ निर्मल बहती, माँ गंगा की धार, है पावन शिव का धाम हरिद्वार, हैं पावन शिव का धाम हरिद्वार ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Hai Pawan Shiv Ka Dham Haridwar Video

By Debashish Dasgupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani

Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani, Teri Shakti Hai Aapar, Koi Paya Nhi Paar, Maiya Jagdambe, Jagdambe,
Durge Bhawani Tu Hi Kali Kalyani ॥

Maiya Tumse Meri Choti Si Hai Arji

Maiya Tumse Meri, Choti Si Hai Arji, Mano Ya Na Mano, Aage Teri Marji, Mavadi Rakhle Tu, Charon Ke Paas ॥

Aaungi Aaungi Main Agle Baras Phir Aaungi

Aaungi Aaungi Main Agle, Baras Phir Aaungi, Laungi Laungi Teri, Laal Chunariya Laungi ॥