Hey Gananayak Jai Sukhdayak (हे गणनायक जय सुखदायक - भजन)


Hey Gananayak Jai Sukhdayak,
Jai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥
Shankar Suvan Bhavane Ke Nandan,
Gauri Putra Ganesh, Gauri Putra Ganesh,
Jo Koi Manav Tujhako Dhyave,
Mit Jaye Sabh Klesh,
Vighnavinayak Kashtanivarak,
Hai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Lambodar Gajavadanavinayak,
Maan Mein Karo Basera, Maan Mein Karo Basera,
Darshan Pakar Tumhara Daata,
Ho Jaye Dur Andhera,
Asi Shakti De Do Mujhko,
Japte Rahe Tera Naam Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Gauri Ke Putra Tum Kahao,
Mushak Vahan Sawari, Mushak Vahan Sawari,
Bhari Sabha Mein Aaj Tu Bhagawan,
Rakho Laaj Hamari,
Bhakta Ke Tum Ho Rakhvare,
Pure Karo Sab Kaam Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥

Hey Gananayak Jai Sukhdayak,
Jai Ganapati Ganaraj Re,
Ganpati Namah Ganpati Namah,
Ganpati Namah Ganpati Namah ॥
हे गणनायक जय सुखदायक - भजन - हिन्दी में पढ़ें
हे गणनायक जय सुखदायक, जय गणपति गणराज रे, गणपति नमः गणपति नमः, गणपति नमः गणपति नमः ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥