Int Int Par Jai Shri Ram Ka Naam Likhayenge (ईंट ईंट पर जय श्री राम, का नाम लिखाएंगे: भजन)


Int Int Par Jai Shri Ram,
Ka Naam Likhayenge.
Doha – Bharat Mein Paida Ho Ke,
Jo Shri Ram Ka Nahin,
Meri Najar Mein Vo Nar,
Kisi Kaam Ka Nahin ॥
Int Int Par Jai Shri Ram,
Ka Naam Likhayenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge..
Karsevkon Ki Na Khali,

Jayegi Kurbani,
Ram Naam Par Jaan Vaar Gaye,
Sachche Hindustani,
Unhi Shahidon Ke Sapanon Ko,
Pankh Lagayenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge ॥

Duniya Bhar Mein Goonjega Ab,
Jai Shri Ram Ka Nara,
Bachcha Bachcha Bol Uthega,
Ye Sankalp Hamara,
Mandir Ki Choti Pe Hum,
Bhagva Lahrayenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge ॥

Utho Ram Ke Pyaro Jaago,
Chalo Avadh Ki or,
Jai Shri Ram Ke Naron Ka,
Duniya Mein Kar Do Shor,
Ramraj Ki Wahi Ayodhya,
Wapas Layenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge ॥

Atal Phaisla Liya Hai ‘Narsi’,
Kar Lo Ab Taiyari,
5 August Ko Neenv Rakhenge,
Milkar Bhagvadhari,
Jagmag Hogi Ram Ki Nagri,
Deep Jalayenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge ॥

Int Int Par Jai Shri Ram,
Ka Naam Likhayenge,
Hoga Mandir Ka Nirman,
Aalishan Banayenge ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..