Jai Jai Ganpati Gajanand Teri Jai Hove (जय जय गणपति गजानंद, तेरी जय होवे - भजन)


Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove,
Jaun Tope Balihari,
Teri Jai Hove,
Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove ॥
Riddhi Siddhi Ke Deta,
Aap Kahate Ho,
Bigadi Hum Sab Ki,
Bappa Aap Banate Ho,
Jay Jay Girija Ke Nandan,
Jay Jay Girija Ke Nandan,
Teri Jai Hove,
Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove ॥

Tera Gajmukh Roop,
Sabhi Bhakton Ko Bhaya Hai,
Sab Devo Ne Milakar,
Gungan Sunaya Hai,
Teri Sundar Mohini Murat,
Teri Sundar Mohini Murat,
Teri Jai Hove,
Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove ॥

Sewa Mein Khade Hai Tere,
Aaj Padharo Ji,
Gote Khaye Ye Naiya,
Aaj Sambhalo Ji,
Kahi Dub Na Jaye Jeevan,
Kahi Dub Na Jaye Jeevan,
Teri Jai Hove,
Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove ॥

Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove,
Jaun Tope Balihari,
Teri Jai Hove,
Jai Jai Ganpati Gajanand,
Teri Jai Hove ॥
जय जय गणपति गजानंद, तेरी जय होवे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जय जय गणपति गजानंद, तेरी जय होवे, जाऊं तोपे बलिहारी, तेरी जय होवे, जय जय गणपति गजानन्द, तेरी जय होवे ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Aaja Aaja O Ganraja

Sarvpratham Pujit Ho Baba, Tum Ho Jag Se Nirale। Sraddha Bhav Se Tumko Puje, Sada Yeh Duniya Wale। Kabhi Nahin Koi Lauta Tere Dar Se Yun Hi Khali, Bhar-Bhar Ke Dete Ho Sabko, Jo Aaye Banke Sawali॥