Jai Jai Ganpati Gauri Nandan (जय जय गणपति गौरी नंदन: भजन)


Jai Jai Ganpati Gauri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu,
Tum Riddhi Siddhi Ke Ho Data,
Hum Bhaktan Par Balihari Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥
Bramha Vishnu Shiv Dhyan Dhare,
Mil Devta Sab Samman Kare,
Hum Karte Hai Vandan Tera,
Aur Aaye Sharan Tihaari Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥

Hum Aas Lagaye Baithe Hai,
Tera Dhyan Lagaye Baithe Hai,
Bhaktan Ko Sach Ki Raah Dikha,
Aur Sabko Paar Lagana Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥

Shiv Shankar Ne Vardan Diya,
Tum Pratham Hee Pooje Jaoge,
Mainne Bhi Pratham Tumhe Pooja Hai,
Mujhe Bhav Se Paar Lagana Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihari Prabhu ॥

Teenon Loko Mein Tum Jaisa,
Dooja Koi Dev Na Daani Hai,
Jo Koi Laaye Muraden Prabhu,
Poori Sab Tum Kar Dena Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥

Jai Jai Ganpati Gauri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu,
Tum Riddhi Siddhi Ke Ho Data,
Hum Bhaktan Par Balihari Prabhu,
Jai Jai Ganpati Gaunri Nandan,
Hum Aaye Sharan Tihaari Prabhu ॥
जय जय गणपति गौरी नंदन: भजन - हिन्दी में पढ़ें
जय जय गणपति गौरी नंदन, हम आए शरण तिहारी प्रभु, तुम रिद्धि सिद्धि के हो दाता, हम भक्तन पर बलिहारी प्रभु, जय जय गणपति गौंरी नंदन, हम आए शरण तिहारी प्रभु ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥