Jhanda Hanuman Ka Salasar Dham Ka (झंडा हनुमान का, सालासर धाम का - भजन)


Sankat Kate Palbhar Main Ye,
Bhakton Saare Jahan Ka,
Jhanda Hanuman Ka,
Salasar Dham Ka ॥
Balaji Ki Laal Dhwaja Ki,
Mahima Aparampar Hai,
Is Jhande Ko Jo Bhi Thame,
Milata Inka Pyar Hai,
Naam Likha Hai Iske Upar,
Naam Likha Hai Iske Upar,
Jagat Pita Shree Ram Ka,
Jhanda Hanuman Ka,
Salasar Dham Ka ॥

Jiske Ghar Main Laal Dhwaja Ye,
Phar Phar Kar Lehrati Hai,
Us Ghar Main Phir Sari Khusiyan,
Doudi Doudi Aati Hai,
Us Pariwar Pe Pehera Rahata,
Us Pariwar Pe Pehera Rahata,
Veer Bali Hanuman Hai,
Jhanda Hanuman Ka,
Salasar Dham Ka ॥

Laal Langota Haath Main Sota,
Hanuman Ki Pehchan Hai,
Ram Naam Ka Hai Matwala,
Sine Mein Siyaram Hai,
Ram Ki Dhun Main Naache 'Sonu',
Ram Ki Dhun Main Naache 'Sonu',
Deewana Is Naam ka,
Jhanda Hanuman Ka,
Salasar Dham Ka ॥

Sankat Kate Palbhar Main Ye,
Bhakton Saare Jahan Ka,
Jhanda Hanuman Ka,
Salasar Dham Ka ॥
झंडा हनुमान का, सालासर धाम का - भजन - हिन्दी में पढ़ें
संकट काटे पलभर में ये, भक्तों सारे जहान का, झंडा हनुमान का, सालासर धाम का ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Narayani Sharanam

Maan Se Bhakti Hai, Maan Se Shakti Hai, Maan Se Mukti Hai, Karta Jo Maan Ka Sumiran...

Maiya Tere Bhakto Ko Tera Hi Sahara Hai

Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai, Tere Bina Is Jag Mein, Koi Na Hamara Hai, Maiya Tere Bhakto Ko, Tera Hi Sahara Hai ॥

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..