Jo Ram Ka Nahi Kisi Kaam Ka Nahi (जो राम का नही , किसी काम का नही: भजन)


Jo Ram Ka Nahi Kisis Kaam Ka Nahi ॥
Raja Ram Sabhi Ke Unki,
Praja Hai Yahan Sari,
Ek Duje Se Ram -Ram,
Kahake Milte Nar Naari,
Ram Naam Anmol Mile,
Kahi Dam Ka Nahi,
Jo Ram Ka Nahi,
Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Dhany Ayodhya Nagari Jisamen ,
Hua Ram Avatar,
Nach Rahe Bharat Vasi ,
Gaya Sadiyo Ka Intajaar Sabhi Magan Hai Jikar Khaas Aur Aam Ka Nahi,
Jo Ram Ka Nahi,
Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Khatm Hua Vanvas Prabhu Ka,
Avadh Puri Mein Aaye,
Sare Jag Mein Mane Diwali,
Har Koi Khusi Manaye,
Uttsav Mein Kuch Pata,
Subhah Aur Shaam ka Nahi,
Jo Ram Ka Nahi,
Kisi Kaam Ka Nahi ॥

Ved Puraan Granth Sare ,
Ram Ram Gun Gate,
Ram Naam Jab Mukh Se Bole ,
Sab Sankat Tal Jate,
Bhulan Kuchh Bhi Bane ,
Haad Aur Chaam Ka Nahi,
Jo Ram Ka Nahi,
Kisi Kaam Ka Nahi ॥
जो राम का नही , किसी काम का नही: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राजा राम सभी के उनकी , प्रजा है यहाँ सारी, एक दूजे से राम-राम , कहके मिलते नर नारी राम नाम अनमोल मिले , कही दाम का नही, जो राम का नही , किसी काम का नही ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanInstrumental BhajanRahul Pandit Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mohe Nandi Banayio Bhole

Mohe Nandi Banayio Bhole, Shankar... Bhole... , Shambhu... Bhole... ॥ Mohe, Nandi Banayio Bhole, Apane Kailash Ko, Main Nach Nach, Kood Kood, Tumako Rijhaungo।

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mukund Madhav Govind Bol Bhajan

Mukund Madhav Govind Bol । Keshav Madhav Hari Hari Bol

Indore Se Chalkar Aaya Hun Mere Baba

Indore Se Chalkar Aaya Hun, Mere Baba Tere Darshan Ke Liye, Ek Phool Gulab Ka laya Hun, Charnon Mein Tere Arpan Ke Liye ॥