Jo Tu Mitana Chahe Jivan Ki Trishna (जो तू मिटाना चाहे, जीवन की तृष्णा :भजन)


Jo Tu Mitana Chahe,
Jeevan Ki Trishna,
Jo Tu Mitana Chahe,
Jeevan Ki Trishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna ॥
Krishn Naam Paavan Paavan,
Krishn Naam Pyara Pyara,
Jo Na Bole Krishna Krishna,
Jag Se Vo Haara Haara,
Man Ka Mite Andhiyara,
Bol Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna ॥

Jisko Mili Na Peeda,
Sukh Ka Maram Kya Jaane,
Jo Na Dhyaye Krishna Krishna,
Nit Ka Dharam Kya Maane,
Chahe Agar Ujiyala,
Bol Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna ॥

Chhod De Bhatakna Dar Dar,
Tod De Aham Ka Ghera,
Bhool Ja Jagat Ke Vaibhav,
Jag Hai Dukho Ka Dera,
Phire Kaahe Maara Maara,
Bol Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna ॥

Jo Tu Mitana Chahe,
Jeevan Ki Trishna,
Jo Tu Mitana Chahe,
Jeevan Ki Trishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna,
Subah Shaam Bol Bande,
Krishna Krishna Krishna ॥
जो तू मिटाना चाहे, जीवन की तृष्णा :भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो तू मिटाना चाहे, जीवन की तृष्णा, सुबह शाम बोल बन्दे, कृष्णा कृष्णा कृष्णा
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanAnup Jalota Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Sajado Ghar Ko Gulshan Sa

Saja Do Ghar Ko Gulshan Sa, Awadh Me Ram Aayen Hain | Mere Sarkar Aaye Hain..

Meri Jhopdi Ke Bhag Aaj Khul Jayenge

Meri Jhopdi Ke Bhag, Aaj Khul Jayenge, Shyam Ayenge

Ram Naam Se Jagmag Hai

Mere Ghar Ka Kona-Kona, Ram Naam Se Jagmag Hai, Pade Charan Tere Mere Ghar Ghar, Charon Dham Sa Jagmag Hai...

Banto Banto Mithai Manao Khushi

Banto Banto Mithai Manao Khushi, Munh Mitha Karvao Avadh Vasiyo । Aaj Van Se Avadh Aa Rahe Hai Prabhu..

Mere Ram Ki Sawari

Hey Utar Rahi Hey Utar Rahi, Mere Ram Ki Sawari Ho, Swagat Karta Swayam Mere Bhole Bhandari Ho..