Krapalu Bhagwan Kriya Ho Karte (कृपालु भगवन् कृपा हो करते: भजन)


Kripalu Bhagwan Kripa Ho Karte,
Isi Kripa Se Nar Tan Mila Hai ।
Dayalu Bhagwan Daya Ho Karte,
Isi Daya Se Ye Man Mila Hai ॥
Ajar, Amar Tum Ho Srishtikarta,
Anupam, Anadi Ho Jag Ke Bharta ।
Abhay, Ajnma Ho Jag Ke Swami,
Akar Tera Nahin Mila Hai ॥

Brahmand Rachte Ho Tum Swayam Hi,
Na Shaktimatta Tum Jaisi Koi ।
Kan-kan Ke Yojak He Jaganiyanta!
Ichchha Se Teri Har Kan Hila Hai ॥

Hai Kaisi Adbhut Karigari Ye,
Jo Koi Dekhe Hota Achambhit ।
Na Hath Sui Lekar Ke Dhaga,
Manush Ka Chola Kaise Sila Hai ॥

Ho Karte Katran Tum Nyari-nyari,
Vividh Rangon Se Bhari Phulwari ।
Saurabh Suman Ki Main Jaun Vari,
Chaman Ka Har Gul Sundar Khila Hai ॥

Vividh Khanij Se Bhari Hai Vasudha,
Kya Swarn, Chandi Kya Tamr, Lauha ।
Hai Pranavayu Kaisi Deti Jo Jeevan,
Bhandar Jan-dhan Sabko Mila Hai ॥

Hain Kaise Jalachar Rahate Hi Jal Mein,
Andar Hi Kaise Hain Shwas Lete ।
Hain Kuchh Ubhayachar Prani Jagat Mein,
Tu in Ye Van Mein Mujhko Mila Hai ॥

Hai Nyayakarin! Ho Nyay Karte,
Kiya Ho Jaisa Vaisa Ho Bharte ।
Na Tolate Kam Aur Na Jiyada,
Chalta Nirantar Ye Silsila Hai ॥

Na Tum Ho Khate Bas Ho Khilate,
Na Tum Ho Pite Bas Ho Pilate ।
Bhar-bhar Ke Anand Ka Ras Pilaya,
Anand Se Man Kamal Khila Hai ॥

Pag Pap Path Par Kabhi Badhe Na,
Punyon Ki Sarani Par Nit Badhun Main ।
`nandakishor` Badho Abhay Man,
Mushkil Se Manav Ka Tan Mila Hai ॥

- Nandakishor Arya
कृपालु भगवन् कृपा हो करते: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कृपालु भगवन् कृपा हो करते, इसी कृपा से नर तन मिला है । दयालु भगवन् दया हो करते, इसी दया से ये मन मिला है ॥ अजर, अमर तुम हो सृष्टिकर्ता...
Bhajan Arya Samaj BhajanVedik BhajanPrabhu BhajanAll Time BhajanSatsang Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥