Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar (मैया के चरणों में, झुकता है संसार: भजन)


Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar
Maiya Ke Charno Me,
Jhukta Hai Sansar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥
Sukh Mein To Maiya Tujhase,
Dur Raha Mein,
Dhan Pad Yash Ke Mad Mein,
Chur Raha Mein,
Jab Dukh Ne Sataya,
To Aaya Tere Dwar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Rakta Bij Ko Maiya,
Tumne Hi Maara,
Sumbha Nisumbha Ko Maiya,
Tumne Hi Sanhara,
Nirmal Maan Se Karti,
Maa Bhakton Pe Upkar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Bhakta Bhav Se Jo Bhi,
Shish Jhuka De,
Duniya Ka Vaibhav Maa Tu,
Uspe Luta De,
‘Anuj Satendr’ Bakhane,
Teri Mahima Aprampar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

Maiya Ke Charno Me,
Jhukta Hai Sansar,
Teeno Lok Main Hoti,
Maa Teri Jay Jaykar ॥

मैया के चरणों में, झुकता है संसार: भजन हिन्दी में पढ़ें

मैया के चरणों में, झुकता है संसार, तीनों लोक में होती, माँ तेरी जय जयकार ॥
Read Also

Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Mujhe Radharani Mera Shyam Mila De

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya. Hori Re Hori Re Barjori Re Rasiya॥

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya, Hori Re Hori Re Barajori Re Rasiya...

Holi Holi Sanware Ki Aae Holi

Holi Holi Holi Holi Holi, Holi Holi Holi Sanware Ki Aae Holi, Gokul Bhiga Mathura Bhiga Bhagato Ki Bhigi Toli,
Holi Holi Holi Holi Holi ॥

Holi Re Holi Barsane Ki Holi

Radha Krishna Ne Mil kar Kheli Barsane Ki Holi, Sang Kishan Ke Gwal Sakha Hai Sakhiyan Radha Toli,
Holi Re Holi Barsane Ki Holi ॥

Aayo Gandgaon Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor

Aayo Nandganv Se Holi Khelan Natwar Nand Kishor । Natwar Nand Kishor, Aayo Chhaliya Makhan Chor Sang Mein Gwal Baal Mastane, Rabdi Tikiya Ghote Chhane । Saje Swang Mein Dhap Manmaane ।

Khele Masane Mein Holi Digambar

Khele Masane Mein Hori, Digambar, Khele Masane Mein Hori, Bhoot Pisach Batori,
Digambar, Khele Masane Mein Hori ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP