Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise (माँ शारदा भवानी, बैठी है देखो कैसे - भजन)


Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise,
Maiya Saji Hai Aise,
Dulhan Bani Ho Jaise,
Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise ॥
Hatho Mein Chudi Chamke,
Mathe Mein Bindiyan Damke,
Kano Mein Bali Latke,
Baalo Mein Gajra Mahake,
Laharaye Kesh Aise,
Kaali Ghata Ke Jaise,
Maiya Saji Hai Aise,
Dulhan Bani Ho Jaise,
Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Heero Jadi Hai Nathni,
Sone Ki Pahne Kakni,
Pao Mein Pahane Mundri,
Odhe Hai Laal Chunri,
Chehra Chamak Raha Hai,
Poonam Ke Chaand Jaise,
Maiya Saji Hai Aise,
Dulhan Bani Ho Jaise,
Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Pao Mein Hai Mahaval,
Paayal Hai Ghunghru Wali,
Aankhe Hai Kaali Kaali,
Hotho Pe Laal Laali,
Maan Ke Nayan Hai Aise,
Khilate Kamal Ho Jaise,
Maiya Saji Hai Aise,
Dulhan Bani Ho Jaise,
Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise,
Maiya Saji Hai Aise,
Dulhan Bani Ho Jaise,
Maan Sharda Bhavani,
Baithi Hai Dekho Kaise ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
माँ शारदा भवानी, बैठी है देखो कैसे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ शारदा भवानी, बैठी है देखो कैसे, मैया सजी है ऐसे, दुल्हन बनी हो जैसे, मां शारदा भवानी, बैठी है देखो कैसे ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara!

Hari Ka Bhajan Karo, Hari Hai Tumhara, Hari Ke Bhajan Bin, Hari Ke Bhajan Bin, Nahin Gujara

Sab Dhamo Se Dham Nirala Shri Vrindavan Dham

Sab Dhamon Se Dham Nirala, Shri Vrindavan Dham, Kunj Nikunj Mein Jahan Viraje, Pyare Shyama Shyam, Mera Vrindavan Pyara, Mera Brajdham Hai Nyara..

Main To Apne Shyam Ki Diwani Ban Jaungi

Main to Apne Shyam Ki, Diwani Ban Jaungi, Mastani Ban Jaungi...