Mahalaxmi Jaap Karo ( महालक्ष्मी जाप करो - भजन)


Namastestu Mahamaye Shri Pithe Sura Pujite
Shankha Chakra Gadahaste Mahalakshmi Namostute
Namaste Garudarudhe Kolaasur Bhayankari
Sarv Paap Hare Devi Mahalakshmi Namostute
Jag Mag Jag Deep Prajwalit
Chahun or Vyapt Prakash Hai

Mantrochchaar Se Goonj Rahe Hain
Khand Khand Prithvi Akash

Utsav Hai Deepavali
Mahalakshmi Ka Pravas

Hariye Na Himmat Bisariye Na Ram
Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham - Aathon Yaam
Ashta Lakshmee Jaap Karo Subah Sham - Aathon Yaam

Kamal Pushp Par Shobhati Ashtalakshmi Maan
Aadi Lakshmi, Dhan Lakshmi, Dhanya Lakshmi Maan
Gaj Lakshmi, Santaan Lakshmi, Dhairya Lakshmi Maan
Vijaya Lakshmi, Vidya Lakshmi Asht Rupini Pranam
Bhandare Bharpoor Puny Ke, Bhali Karenge Ram

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam
Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Riddhi Siddhi Ki Swamini Kashta Nivarini Maan
Papam Mukti Dayini Jag Udharini Maa
Sukh Shanti Shubh Laabh Ki Devi
Karuna Pravahini Maan
Dhoopam Deepam Samarpayami, Jyotirmaya Har Dham

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam
Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam
महालक्ष्मी जाप करो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
महालक्ष्मी जाप करो सुबह शाम आठों याम, अष्ट लक्ष्मी जाप करो सुबह शाम आठों याम..
Bhajan Diwali Pujan BhajanLakshmi Puja BhajanGanesh Puja BhajanDiwali BhajanLaxmi Puja Maha Lakshmi BhajanAshta Lakshmi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dont Worry Maiya Hai Pass Khadi

Ab to, Tum Na, Ghabrao, Maiya Ji Ke, Gun Gao । Har Sankat, Mit Jaega, Ek Bar, Milkar Gao ॥ Dont Worry, Maiya Hai, Paas Khadi X॥-॥

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥