Maine Arji Lagai Mere Shyam Ko (मैंने अर्ज़ी लगाई मेरे श्याम को: भजन)


Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko,
Baba Le Lo Khabariya Ek Baar Ho,
Kisne Aakar Meri Chalai Naav Ho,
Na Hi Maajhi Dikhe Na Patvaar Ho,
Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko ॥
Duhkh Ke Badal Mandraye,
Kaali Raat Ko,
Naiya Dole Re Dole,
Khaaye Hichkole Dole Re Dole,
Baba Sath Do,
Chhod Na Dena Baba,
Dukhiya Anath Ko,
Tu to Sabse Bada Hai Deenanath Ho,
Baba Le Khabariya Ek Baar Ho,
Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko ॥

Aapke Bina Na,
Naiya Paar Ho,
Aaye Koi Toofan,
Ya Tez Dhaar Ho,
Kaise Rokoon Bolo,
Aansoo Ki Dhaar Ko,
Aaja Karke Sawari,
Leele Sath Ho,
Baba Le Khabariya Ek Baar Ho,
Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko ॥

‘ranjeeta’ Gaye Aaj,
Pukar Aapko,
Aandhi Ho Ya Toofan,
Bachana Naav Ko,
‘saty’ Kahata Ye Hi Hai,
Ardaas Ho,
‘Jyoti’ Likhti,
Na Tute Vishwas Ho,
Baba Le Khabariya Ek Baar Ho,
Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko ॥

Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko,
Baba Le Lo Khabariya Ek Baar Ho,
Kisne Aakar Meri Chalai Naav Ho,
Na Hi Maajhi Dikhe Na Patvaar Ho,
Maine Arzi Lagayi Mere Shyam Ko ॥
मैंने अर्ज़ी लगाई मेरे श्याम को: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैंने अर्ज़ी लगायी मेरे श्याम को, बाबा ले लो खबरिया एक बार हो, किसने आकर मेरी चलाई नाव हो, ना ही माझी दिखे ना पतवार हो, मैंने अर्ज़ी लगाई मेरे श्याम को ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Mujhe Dar Par Bula Le Ek Baar

Chitthi Likhi Hai Mainne, Ansuon Ki Syahi Se, Pahuncha Dena Sandesha Mera, Kisi Rahi Se।

Phool Dei, Chamma Dei Geet

Kya Kya Kamaya Humne, Aao Hisab Kar Le, Duniya Ki Baat Chhode, Apni Kitab Padh Le...