Mera Bajrangi Hanuman Bada Albela Hai (मेरा बजरंगी हनुमान, बड़ा ही अलबेला है: भजन)


Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai,
Bada Albela Hai,
Bada Hi Albela Hai,
Chahe Kitna Bada Ho Kaam,
Wo Karta Akela Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥
Bhir Padi Jab Ram Pe Bhari,
Ravan Ne Har Li Siya Mahatari,
Lae Khoj Siya Ki,
Ram Ki Mitai Jhamela Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥

Ashok Batika Mein Vo Lalkara,
Ravan Ke Sainikon Ko Bhi Mara,
Kisi Se Bhi Ek Bhi Vaar,
Gaya Na Jhola Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥

Lakshman Ko Jab Murchha Aae,
Vikal Ho Gae Tab Raghurae,
Lae Sanjeevani Ka Parvat,
Utha Ke Akela Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥

Kahe ‘Shyaam’
Ram Ka Hai Vah Diwana,
Siya Ji Ne Ise Putr Hi Mana,
Siyaram Basen Jis Maan Mein,
Wo Bhi Navela Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥

Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai,
Bada Albela Hai,
Bada Hi Albela Hai,
Chahe Kitna Bada Ho Kaam,
Wo Karta Akela Hai,
Mera Bajrangi Hanuman,
Bada Hi Albela Hai ॥
मेरा बजरंगी हनुमान, बड़ा ही अलबेला है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरा बजरंगी हनुमान, बड़ा ही अलबेला है, बड़ा अलबेला है, बड़ा ही अलबेला है, चाहे कितना बड़ा हो काम, वो करता अकेला है, मेरा बजरँगी हनुमान, बड़ा ही अलबेला है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Tere Siva Baba Kaun Sunega

Tere Siva Baaba Kaun Sunega, Tum Hee Sunoge Tumako, Sunana Padega, Tum Hee Sunoge Tumako, Sunana Padega ।

Bhajan: Kabhi Ram Banake Kabhi Shyam Banake

Popular bhajan prominently sing during Shri Ram Navami, Vijay Dashami, Sunderkand...