Mere Ghanshyam Se Tum Mila Do (मेरे घनश्याम से तुम मिला दो: भजन)


Mere Ghanshyam Se Tum Mila Do,
Main Hoon Unka Yaar Purana,
Unse Bichhade Hua Jamana,
Yaad Mujhe Unki Aayi Hai,
Akhiyan Meri Bhar Aayi Hai,
Main to Aaya Hoon Is Dar Pe,
Mila Do Mila Do,
Are Dwarpalon,
Mere Ghanshyam Se Tum Mila Don ॥
Naam Mera Bata Do,
Haal Saara Suna Do,
Unse Kahdo Ke Dware,
Sudama Khada,
Itne Mein Vo to Jaan Hi Lenge,
Bas Mujhko Pahachan Hi Lenge,
Main to Aaya Hoon Is Dar Pe,
Mila Do Mila Do,
Are Dwarpalon,
Mere Ghanshyam Se Tum Mila Don ॥

Jaake Prabhu Ko Bataya,
Haal Saara Sunaya,
Prabhu Dware Pe Milne,
Sudama Khada,
Hai Vo Surat Se Bhola,
Mujhse Hak Se Vo Bola,
Vo Batata Hai Nata,
Purana Bada,
Itni Sunkar Prabhu Uth Bhaage,
Nange Pairon Daudan Laage,
Mera Aaya Hai Aaj Yaar,
Mila Do Mila Do,
Are Dwarpalon,
Mere Baalsakha Se Mila Do ॥

Durdasha Jo Sudama Ki,
Dekhe Kanhaiya,
To Aankhon Se Ashru,
Barasne Lage,
Bitha Apni Gaddi Pe,
Dhadhas Bandhaya,
Aur Hatho Se Charanon Ko,
Dhone Lage,
Itne Din Tu Kyon Dukh Paya,
Kya Tujhko Main Yaad Na Aaya,
Tune Dukhaya Dil Yaar,
Lagale Lagale Lagale Sudama,
Apne Seene Se Mujhko Laga Le ॥

Main Hoon Unka Yaar Purana,
Unse Bichhade Hua Jamana,
Yaad Mujhe Unki Aayi Hai,
Akhiyan Meri Bhar Aayi Hai,
Main to Aaya Hoon Is Dar Pe,
Mila Do Mila Do,
Are Dwarpalon,
Mere Ghanshyam Se Tum Mila Do,
Mere Ghanshyam Se Tum Mila Do ॥
मेरे घनश्याम से तुम मिला दो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे घनश्याम से तुम मिला दो, मैं हूँ उनका यार पुराना, उनसे बिछड़े हुआ जमाना, याद मुझे उनकी आयी है, अखियाँ मेरी भर आयी है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanKrishn Sudama BhajanBhakt Sudama BhajanKrishna Balkatha Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mann Me to Aave Bhajan Banau

Mann Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Baalasa, Bhajan Bana Ke Baalasa Tujhko Rijhaun..

Bajrangbali Ki Shan Badi

Bajrangbali Ki Shan Badi, Ati Sundar Hai Hanumangadhi । Shri Ram Gareeb Navaj Hai, Hanumat Kalyug Ke Raja Hai

Bajrangbali Vo

Bajrangi Bali Vo,Bali Ma Bali Chir Chhati Dekhaye Na ll

Bajrangi Maharaj Tumhe Bhakt Bulate Hai

Bajrangi Maharaj, Tumhai Bhakt Bulate Hai, Tumhai Shish Jhukate Hai ॥