Mere Kanth Baso Maharani (मेरे कंठ बसो महारानी - भजन)


Mere Kanth Baso Maharani,
Na Mein Janu Puja Teri,
Na Mein Janu Mahima Teri,
Main Murakh Agyani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥
Sur Mein Taal Mein Lay Aur Raag Mein,
Tum Hi Ho Ragini Maa,
Saat Suro Ki Ho Bardani,
Maa Sarde Bina Pani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥

Bramha Ji Ki Ho Bramhani,
Lakshmi Ho Vishnu Priya Ho,
Kaali Gauri Durga Bhi Ho,
Tum Ho Shiv Ki Shivani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥

Jab Bhi Gaun Mahima Tumhari,
Na Bahaku Na Bhataku,
“Lakhkha” Sunaye Prem Se Sabako,
Teri Amar Kahani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥

Mere Kanth Baso Maharani,
Na Mein Janu Puja Teri,
Na Mein Janu Mahima Teri,
Main Murakh Agyani,
Mere Kanth Baso Maharani ॥
मेरे कंठ बसो महारानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे कंठ बसो महारानी, ना मैं जानू पूजा तेरी, ना मैं जानू महिमा तेरी, मैं मूरख अज्ञानी, मेरे कंठ बसो महारानी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko Ghar Ghar Me Pahuchana Hai

Shri Ram Katha Ki Mahima Ko, Ghar Ghar Me Pahuchana Hai, Ram Naam Ki Bhakti Ko, Jan Jan Main Jagana Hai, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram, Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram ॥

Bhagwa Rang Chadha Hai Aisa Aur Rang Na Bhayega

Bhagwa Rang Chadha Hai Aisa, Aur Rang Na Bhayega, Jay Shree Ram Ke Naam Ka Nara, Ghar Ghar Se Ab Ayega, Ayodha Ki Nagri Mein Ab, Kesariya Lehrayega, Kesariya Kesariya Mharo, kesariya kesariya ॥

Chola Maati Ke Hai Ram

Chola Mitti Ke Hai Ram, Ekar Ka Bharosa, Chola Mitti Ke Hai Re, Chola MItti Ke Hai Ho,
Hay Chola Mitti Ke Hai Ram, Ekar Ka Bharosa, Chola Mitti Ke Hai Re ॥

Bas Gaye Raghunandan Sharkar

Bas Gaye Raghunandan Sarakar, Ho Rahi Jag Mein Jay Jayakar, Mere Ram Mere Ram,
Mere Raghunandan Sarakaar, Bas Gaye Raghunandan Sarakar, Ho Rahi Jag Mein Jay Jayakar ॥

Sri Ram Dhun Mein Mann Tu

Shri Ram Dhun Mein Man Tu, Jab Tak Magan Na Hoga, Bhav Jaal Chhutne Ka, Tab Tak Jatan Na Hoga ॥