Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan (मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे - भजन)


Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare
Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare
Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥
Teri Kaya Kanchan Kanchan,
Kiranon Ka Hai Jisme Basera ।
Teri Soond Sundali Murat,
Teri Ankhon Me Khushiyon Ka Dera ।
Teri Mahima Aparampar,
Tujhko Puje Ye Sansar ।
Prabhu Amrit Ras Barsa Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladale Ganesh Pyare Pyare ॥

Prabhu Bhajan Tumhare Gayen,
Sabse Pahale Ham Tumko Manaen ।
Dhup Deepo Ki Jyoti Jalaen,
Man Mandir Me Jhanki Sajaen ।
Mere Bhole Bhagwan,
De Do Bhakti Ka Daan ।
Prabhu Naiya Paar Laga Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥

Mere Vidhan Vinashak Deva,
Sabse Pahale Karen Teri Seva ।
Sare Jag Me Anand Chhaya,
Bolo Jay Jay Gajanand Deva ।
Baje Sur Aur Taal,
Tera Gun Gaye Sansar ।
Ghunghru Ki Khanak Khanak Jaana, Aa Jaana ।
॥ Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare ॥
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे लाडले गणेश प्यारे प्यारे, भोले बाबा जी की आँखों के तारे, प्रभु सभा बीच में आ जाना आ जाना...
Bhajan Shri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanChaturthi BhajanGanesh Chaturthi BhajanRajasthani BhajanGrah Pravesh Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥