Mere O Sanware Tune Kya Kya Nahi Kiya (मेरे ओ सांवरे, तूने क्या क्या नहीं किया - भजन)


Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya,
Jab Laga Main Gira,
Thaama Tune Liya,
Phir Dobara Na Girne Diya,
Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥
Apnon Ki Kahoon,
Kya Main Tujhse Prabhu,
Kaun Apna Hai Ye,
Jaanta Hai Bhi Tu,
Daal Mujh Pe Nazar,
Tu Mera Humsafar,
Hai Ye Jag Ko Bata Diya,
Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥

Jispe Pad Jaati Hai,
Shyam Teri Nazar,
Dagmagati Nahin ,
Kabhi Uski Dagar,
Sankton Ne Na Phir,
Mudke Uski Taraph,
Rukh Dobara Kabhi Bhi Kiya,
Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥

Meri Hai Ek Araj,
Tumse Ai Sanware,
Dena Kuchh Bhi,
Na Dena Aham Sanware,
Gaun Tere Main Gun,
Har Jagah Ghoom Ghoom,
Shyam Ne Kya Se Kya Kar Diya,
Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥

Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya,
Jab Laga Main Gira,
Thaama Tune Liya,
Phir Dobara Na Girne Diya,
Mere O Sanware,
Tune Kya Kya Nahin Kiya ॥
मेरे ओ सांवरे, तूने क्या क्या नहीं किया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरे ओ सांवरे, तूने क्या क्या नहीं किया, जब लगा मैं गिरा, थामा तूने लिया, फिर दोबारा ना गिरने दिया ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Dadi Mein Thari Beti Hu

Dadi Main Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Maiya Main Thari Laado Hun, Rakhiyo Meri Laaj, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Dhan Daulat Deejo Mat Deejo, Deejo Amar Suhag, Dadi Mai Thari Beti Hun, Rakhiyo Meri Laaj ॥

Mhane Sherawali Maiya Rajrani Laage

Mhane Praana Su Bhi Pyari, Mata Raani Laage, Mata Raani Laage, Mhane Sherowali Maiya, Raaj Raani Laage ॥

Maa Sharda Bhawani Bethi Hai Dekho Kaise

Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise, Maiya Saji Hai Aise, Dulhan Bani Ho Jaise, Maan Sharda Bhavani, Baithi Hai Dekho Kaise ॥

Maiya Ke Charno Me Jhukta Hai Sansar

Maiya Ke Charno Me, Jhukta Hai Sansar, Teeno Lok Main Hoti, Maa Teri Jay Jaykar ॥