Moko Kahan Dhunde Re Bande (मोको कहां ढूंढे रे बंदे - भजन)


Moko Kahan Dhunde Re Bande,
Mein To Tere Paas Mein ।Na Tirath Mein Na Murat Mein,
Na Ekant Nivas Mein ।
Na Mandir Mein, Naa Masjid Mein,
Na Kaabe Kailash Mein ।
Mein To Tere Paas Mein ।

Na Main Jap Mein, Na Main Tap Mein,
Na Main Vrat Upvas Mein ।
Na Main Kriya Kram Mein Rahta,
Na Hi Yog Sanyaas Mein ।
Mein To Tere Paas Mein ।

Nahi Pran Mein, Nahi Pind Mein,
Na Bramhand Aakash Mein ।
Na Main Trikuti Bhawar Mein,
Sab Swanso Ke Swas Mein ।
Mein To Tere Paas Mein ।

Khoji Hoye Turant Mil Jaun,
Ek Pal Ki Hi Talaash Mein ।
Kahe Kabir Suno Bhai Sadho,
Main To Hu Vishwas Mein ।
Mein To Tere Paas Mein ।

Moko Kahan Dhunde Re Bande,
Mein To Tere Paas Mein ।
मोको कहां ढूंढे रे बंदे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मोको कहां ढूंढे रे बंदे, मैं तो तेरे पास में । ना तीरथ में ना मूरत में, ना एकांत निवास में ।..
Bhajan Arya Samaj BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanJain BhajanJainism BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Thari Jai Ho Pavan Kumar Balihari Jaun Balaji

Lal Langoto Hath Me Soto, Thari Jay Jo Pavan Kumar, Main Vari Jaoon Balaji,

Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude

Ude Ude Bajrangbali, Jab Ude Ude Hanuman Ude Udte Hi Gaye, Sab Dekh Rahe Hai Khade Re Khade

Nit Ratun Nam Baba, Naukari Miljya Jai Hanuman

Nit Ratun Naam Baba, Aajya Kaam Aaj, De De Isa Vardaan, Naukri Miljya Jai Hanuman ॥

Salasar Mein Jiska, Aana Jana Ho Gaya

Salasar Mein Jiska, Aana Jana Ho Gaya, Vo Hi Meri Baba Ka, Deewana Ho Gaya...