Mujhe Charno Se Lagale Mere Shyam Murli Wale (मुझे चरणों से लगाले, मेरे श्याम मुरली वाले - भजन)


Mujhe Charno Se Lagale,
Mere Shyam Murli Wale ।
Meri Swas-swas Mein Tera,
Hai Naam Murli Wale ॥
Bhakton Ki Tumne Kanha,
Vipda Hai Tari,
Meri Bhi Baah Thamo,
Aa Ke Bihari ।
Bigde Banaye Tumne,
Har Kaam Murli Wale ॥

Mujhe Charno Se Lagale,
Mere Shyam Murli Wale ।

Patjhad Hai Mera Jeevan,
Ban Ke Bahar Aaja,
Sun Le Pukar Kanha,
Bas Ek Baar Aaja ।
Baichain Man Ke Tumhin,
Aaram Murli Wale ॥

Mujhe Charno Se Lagale,
Mere Shyam Murli Wale ।

Tum Ho Daya Ke Sagar,
Janmon Ki Main Hoon Pyasi,
De Do Jagah Mujhe Bhi,
Charanon Mein Bas Jara Si ।
Subah Tumhin Ho, Tumhin Hi,
Meri Shyam Murli Wale ॥

Mujhe Charno Se Lagale,
Mere Shyam Murli Wale .

Mujhe Charno Se Lagale,
Mere Shyam Murli Wale ।
Meri Swas Swas Mein Tera,
Hai Naam Murli Wale ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
मुझे चरणों से लगाले, मेरे श्याम मुरली वाले - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुझे चरणों से लगाले, मेरे श्याम मुरली वाले । मेरी स्वास-स्वास में तेरा..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanPamela Jain Bhajan

Other Popular Mujhe Charno Se Lagale Mere Shyam Murli Wale Video

By Devi Chitralekhaji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai

Tu Hi Kanhaiya Tu Hi Lakhdatar Hai, Lakhdatar Hai Tu Lile Ka Sawar Hai, Sanware Teri to Lila Aprampar Hai, Mohana Tu Hi Lakhdatar Hai ।

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna

Itni Kirpa Sanware Banaye Rakhna, Marte Dam Tak Seva Mein Lagaye Rakhna, Itni Kirpa Sanware ॥

Dhara Too Beh Rahi Hai

Dhara to Bah Rahi Hai, Shri Radha Naam Ki, Radha Radha Ratat Hi, Sab Vyadha Mit Jaye..

Mhara Kunj Bihari Krishna Murari

Mhara Kunj Bihari, Krishn Murari, Barsaane Baaga Mein Bole Mor ॥