Naam Na Mukh Se Chute Bajrangi Tumhara (नाम ना मुख से छूटे, बजरंगी तुम्हारा - भजन)


Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara,
Ham Hai Tere Pujhari Hanumat,
Tu Hi Estha Hamara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥
Tere Charan Ki Dhul,
Mastak Sada Lagaye,
Tere Sumiran Main Sada,
Ham Sachcha Sukh Paen,
Teri Yaad Mein Ham Khoye Hai,
Sara Jagat Bisara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥

Anjani Maa Ke Laala,
Shankar Ke Avatari,
Teri Mahima Dekh Ke,
Jhukati Duniya Sari,
Teri Pataaka Jab Laharaye,
Jhoom Uthe Jag Sara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥

Teri Yaad Mein Rahate,
Nishadin Khoye khoye,
Teri Krpa Ho Jaye,
Kabhi Bhi Duhkh Na Hove,
Tere Bin Duniya Mein Keval,
Koi Nahin Hamara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥

Teri Bhakti Jo Kare,
Mit Jate Andhiyare,
Ham Par Kirapa Kijiye,
Thame Charan Tumhare,
Maan Mandir Mein Tumhi Biraje,
Keval Tumhe Pukaara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥

Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara,
Ham Hai Tere Pujhari Hanumat,
Tu Hi Estha Hamara,
Naam Na Mukh Se Chute,
Bajarangi Tumhara,
Bajarangi Tumhara ॥
नाम ना मुख से छूटे, बजरंगी तुम्हारा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नाम ना मुख से छूटे, बजरंगी तुम्हारा, बजरंगी तुम्हारा, हम है तेरे पुजारी हनुमत, तू ही इष्ट हमारा, नाम ना मुख से छुटे, बजरंगी तुम्हारा, बजरंगी तुम्हारा ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hamare Do Hi Rishtedar

Hamare Do Hi Rishtedar, Ek Hamari Radha Rani, Dooje Banke Bihari Sarkar ।

Bandha Tha Draupadi Ne Tumhe Char Taar Main

Bandha Tha Draupadi Ne Tumhe, Char Taar Mein । Khoob Jaan Liya Bandha, Ek Pushp-haar Mein

Shyama Tere Charno Ki, Gar Dhool Jo Mil Jaye

Shyama Tere Charno Ki, Radhe Tere Charno Ki, Gar Dhool Jo Mil Jaye । Sach Kahta Hoon Meri

Tujh Sa Dayalu Nahi Pyare

Shruti Kahe Jagat Pita Hai Tu Hi Pyare, Banyo Yashomati Sut Pyare, Pyare Pyare Pyare, Tujhsa Dayalu Nahi Pyare, Pyare Pyare Pyare ॥

Ram Ke Dulare, Mata Janki Ke Pyare

Ram Ke Dulare, Mata Janaki Ke Pyare, Tumhe Naman Hajaro Baar Hai ।