Naino Mein Teri Jyoti Sanso Mein Tera Naam (नैनो मे तेरी ज्योति, सांसो में तेरा नाम: भजन)


Naino Main Teri Jyoti,
Sanso Main Tere Naam ॥
Doha – Jay Bajarangi,
Bhakto Ke Sangi,
Jay Ho Veer Hanuman,
Tumako Hi Puju,
Tumako Hi Dhyaun,
Tum Hi Mere Bhagavan ॥

Naino Mein Teri Jyoti,
Sanso Mein Tera Naam,
Mahabali Bajarangi,
Maan Mein Hai Tera Dhaam,
Naino Main Teri Jyoti,
Sanso Main Tere Naam ॥

Mere Jivan Ki Mala Hai,
Tere Hi Naam Ke Moti,
Bhakti Se Teri Hi Hanuman,
Har Bhor Meri Hi Hoti,
Teri Hi Din Raat Sadhana,
Mera Yahi hai Kaam,
Naino Main Teri Jyoti,
Sanso Main Tere Naam ॥

Paya Hai Hanuman Tumhai,
Swayam Ko Maine Kho Kar,
Jhute Lage Sansar Ke Riste,
Dekha Tumhara Ho Kar,
Jod Liya Jab Nata Tumse,
Phir Jag Se Kya Kaam,
Naino Main Teri Jyoti,
Sanso Main Tere Naam ॥

Naino Mein Teri Jyoti,
Sanso Mein Tera Naam,
Mahabali Bajarangi,
Maan Mein Hai Tera Dhaam,
Naino Main Teri Jyoti,
Sanso Main Tere Naam ॥
नैनो मे तेरी ज्योति, सांसो में तेरा नाम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
नैनो मे तेरी ज्योति, सांसो में तेरा नाम, महाबली बजरंगी, मन में है तेरा धाम, नैनो मे तेरी ज्योति, सांसो में तेरा नाम ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥