Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya (पार करेंगे नैया भज कृष्ण कन्हैया - भजन)


Paar Karenge Naiya Bhaj Krishn Kanhaiya ।
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishn Kanhaiya ।
Nis Deen Bhaj Gopal Pyare,
Mor Mukut Peetambar Vaare ।
Bhagto Ke Rakhvaiya, Bhaj Krishna Kannhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Swas Swans Bhaj Nand Dulare,
Vo Hi Bigde Kaaz Sabare ।
Natwar Chatur Rijhaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishn Kanhaiya ।

Arjun Ke Rath Hakan Vaare,
Yashoda Ji Ke Praan Pyare ।
Man Har Murli Bajaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishn Kanhaiya ।

Gwaal Baal Sang Dhenu Rachaave,
Loot Loot Dadhi Makhan Khaave ।
Chamatkar Karavaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Narsi Ji Ne Ter Lagaayi,
Saawal Shaah Nahin Der Lagaayi ।
Aise Bhaat Bhariya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Sankat Se Prahlad Ubharo,
Sankat Se Hum Ko Bhi Ubharo ।
Khamb Phaad Harinyakashpu Maaro,
Narsinh Roop Dharaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Abla Ko Deve Sharan Na Koi,
Bhari Sabha Mein Draupadi Roi ।
Pahunche Cheer Badhiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Vipra Sudama Chawal Laye,
Prem Sehat Hari Bhog Lagaye ।
Deen Sudama Gale Lagaye,
Kah Kar Bhaiya Bhaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Van Mein Ek Shila Thi Bhari,
Charan Chhuvaay Ahilya Taari ।
Aise Bhi Baikunth Pathaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Deenanath Sharan Hitkari,
Sankat Mochan Krishna Murari ।
Bhagat Jano Ka Rakhavaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Bal Krishna Gopal Hamaro,
Brj Vasin Ko Praan Payaaro ।
Brj Gopin Ko Hriday Dulaaro,
Nand Mahal Ko Chhaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Mira Kahe Prabhu Giridhar Naagar,
Soor Kahe Mera Natwar Naagar ।
Daas Kahe Mera Natwar Naagar,
Ghat Ghat Vaas Kariya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Drupat Suta Dushto Ne Gheri,
Aaye Nath Kari Na Deri ।
Turat Lagayi Cheer Ki Dheree,
Bhagtan Ke Duhkh Hariya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Gopin Ke Sang Raas Rachaayo,
Kaam Dev Yaane Maar Bhagao ।
Kaliyan Naag Nachaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya ।

Gaj Aur Graah Lade Jal Bhitar,
Gaj Ki Ter Suni Mere Natwar ।
Gaj Ke Phand Chhudaiya, Bhaj Krishna Kanhaiya ॥
Paar Karenge Naiya...
पार करेंगे नैया भज कृष्ण कन्हैया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
पार करेंगे नैया भज कृष्ण कन्हैया, निस दिन भज गोपाल प्यारे, मोर मुकुट पीतांबर वारे । भगतो के रखवैया, भज कृष्ण कन्हैया ॥..
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanMadhav BhajanHare Krishna Bhajan

Other Popular Paar Karenge Naiya Bhaj Krishna Kanhaiya Video

Didi Maa Sadhvi Ritambhara Ji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

O Sanware Data Mere Tera Shukriya Hai

Mujhe Jo Bhi Kuch Mila Hai, Tumne Hi Sab Diya Hai, O Sanware Data Mere, Tera Shukriya Hai...

Main Kitna Adham Hu Ye Tum Hi Jano

Main Kitna Adham Hoon, Ye Tum Hi Jaano, Main Kya Chaahta Hoon, Ye Tum Hi Jaano, Mai Kitna Adham Hoon, Ye Tum Hee Jaan ॥

Hey Banke Bihari Girdhari Ho Pyar Tumhare Charno Mein

Hey Banke Bihari Girdhari, Ho Pyar Tumhare Charanon Mein, Natwar Madhusudan Banwari, Ho Pyar Tumhare Charanon Mein...

Tha Bin Dheenanath Aangli Kun Pakadsi Ji

Tha Bin Deenanath, Aangli Kun Pakadsi Ji, Kun Pakadsi Ji Saanwara, Kun Pakadsi Ji, Tha Bin Deenanath, Aangli Kun Pakadsi Ji, Mhaari Peed Haro Ghanshyam Aaj, Thaane Aaya Sarsi Ji, Tha Bin Deenanath, Aangli Kun Pakadsi Ji ॥

Itna to Karna Swami Jab Pran Tan Se Nikle

Itna to Karna Swami Jab Pran, Jab Pran Tan Se Nikle Govind Naam Lekar, Phir Pran Tan Se Nikle ॥