Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande Need Kahan Se Laoge (प्रभु को अगर भूलोगे बन्दे, बाद बहुत पछताओगे)


Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge,
Paise Se Bhojan Laoge,
Bhukh Kaha Se Laoge,
Paise Se Bhojan Laoge,
Bhukh Kaha Se Laoge,
Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge ॥
Paise Ke Khatir Tu Bande,
Karta Raha Hera Pheri,
Ghee Mein Dalda, Dalda Mein Ghee,
Karte Nahi Tanik Deri,
Sundar Waqt Ko Kab Tak Bande,
Vyarth Mein Yu Hi Gavaoge,
Paise Se Bistar Laoge,
Neend Kaha Se Laoge,
Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge ॥

Saabun Se is Tan Ko Bande,
Dhota Raha Tu Mal-mal Ke,
Man to Tera Ganda Rah Gaya,
Teerath Karta Chal-chal Ke,
Prabhu Sharan Mein Nahi Gaye to,
Baad Bahut Pachhtaoge,
Paise Se Gahana Laoge,
Roop Kaha Se Laoge,
Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge ॥

Sangeet Hai Shakti Ishwar Ka,
Iska Hi Gungan Karo,
Man Ko Baandho Tan Ko Saadho,
Kabhi Nahi Abhiman Karo,
Agar Sadhna Nahi Karoge,
Ant Samay Pachhtaoge,
Paise Se Saragam Sikhoge,
Dard Kaha Se Laoge,
Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge ॥

Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge,
Paise Se Bhojan Laoge,
Bhukh Kaha Se Laoge,
Paise Se Bhojan Laoge,
Bhukh Kaha Se Laoge,
Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande,
Baad Bahut Pachhtaoge ॥
प्रभु को अगर भूलोगे बन्दे, बाद बहुत पछताओगे - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु को अगर भूलोगे बंदे, बाद बहुत पछताओगे ॥
Bhajan Ratnesh Chaturvedi BhajanShiva Chaturvedi Bhajan

Other Popular Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande Need Kahan Se Laoge Video

Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande Need Kahan Se Laoge By Raghupati Tiwari

Ary Samaj Bhajan: Prabhu Ko Agar Bhuloge Bande Need Kahan Se Laoge By Dhiraj Kant

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Diwane Shree Ram Ke

Bhagway Ke, Tilak Ke, Aur Bus Ek Naam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke, Jo Ram Ke Nahin, Na Hamare Kisi Kaam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke॥

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Laddu Gopal Mera Chota Sa Hai Lalaa

Laddoo Gopal Mera, Laddoo Gopal, Chhota Sa Hai Lala Mera...

Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri

Naiya Majhdhar Meri, Tuti Patwar Meri, Ban Ke Tu Manjhi, Aaja Shyam Mere ॥