Prabhuji Tum Bin Kaun Sahara (प्रभुजी तुम बिन कौन सहारा - भजन)


Saakhi
Jo Ganpati Ko Dhyaye,Param Sukhi Ho Jaye ।
Jo Shankar Ko Pooje,Vipda Paas Na Aaye ॥
Ram Naam Ke Jap Se,Man Pavan Ho Jaye ॥
Gopala Jo Bole, Bhav Sagar Tar Jae ॥
Prabhuji Tum Bin Kaun Sahara ।
Kaun Hai Palanhara,Kaun Hai Palanhara ॥
Jay Ganapati Siddhi Vinayak Jay ।
Jay Ganapati Jay Sukh Dayak Jay ॥

Kali Raate Ujiyare Din Sab Hai Mahima Teri ।
Aur Kaheen Ab Jaoon Na Bhagwan Tujhmen Shraddha Meri ॥
Raah Dikhai Tune Mujhko Chhaya Jab Andhiyara ॥
Kaun Hai Palanhara .. Kaun Hai Palanhara ॥
Jay Shankar Kasht Nivarak Jay॥
Jay Bhole Jag Ke Palak Jay ॥

Kal Kya Hoga Jaanoo Na Main Sab Kuchh Tujhape Chhoda ।
Toone Mujhko Paas Bithaya Jab Sabne Mukh Moda ॥
Too Hi Sachcha Meet Kahaye,Begana Jag Saara ॥
Kaun Hai Palanhara॥॥Kaun Hai Palanhara॥
Bolo Ram Siya Ram॥
Japo Ram Siya Ram ॥

Duhkh Sukh Mela Dhoop Chhanv Ka,Aate Jaate Rahana ।
Jaane Kab Tak Aur Rahega in Sanson Ka Gahana ॥
Toone Usko Diya Sahara,Jisne Tujhe Pukara ॥
Prabhuji … Tum Bin Kaun Sahara ॥
Kaun Hai Palanhara Kaun Hai Palasanhara ॥
Bolo Jay Radheshyam ।
Ghanashyam Radhe Shyam ॥

Prabhuji Tum Bin Kaun Sahara ।
Kaun Hai Palanahara Kaun Hai Palanahara ॥
Jay Ganapati Siddhi Vinayak Jay॥
Jay Ganapati Jay Sukhadayak Jay ॥
प्रभुजी तुम बिन कौन सहारा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
जो गणपति को ध्याये,परम सुखी हो जाए । जो शंकर को पूजे,विपदा पास न आए ॥
Bhajan Ganpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanWednesday BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hey Ram, Hey Ram !

Hey Raam, Hey Raam, Jag Mein Sacho Tero Naam, Hey Raam, Hey Raam, Tu Hee Mata, Tu Hee Pita Hai

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Aaja Aaja O Ganraja

Sarvpratham Pujit Ho Baba, Tum Ho Jag Se Nirale। Sraddha Bhav Se Tumko Puje, Sada Yeh Duniya Wale। Kabhi Nahin Koi Lauta Tere Dar Se Yun Hi Khali, Bhar-Bhar Ke Dete Ho Sabko, Jo Aaye Banke Sawali॥