Prano Se Bhi Pyara Dadi Dham Tumhara (प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा - भजन )


Prano Se Bhi Pyara,
Dadi Dham Tumhara,
Darshan Kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara,
Tune Sabko Tara,
Sabka Jivan Sawara,
Tere Bin Koun Dadi,
Hum Bhakto Ka sahara ॥
Atke Kabhi Jo Naiya,
Bane Tu Khaweya,
Kasta Sabhi Ke Kaate,
Meri Maiya,
Andhiyare Jivan Ka,
Maa Tum Hi Ho Ujiara,
Darshan kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara ॥

Aansuo Ko Mere Apane,
Aanchal Se Ponchhe,
Mamta Lutakar Maiya,
Haal Mera Puche,
Nit Uth Dadi Dhyaun,
Main Ek Naam Tumhara,
Darshan kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara ॥

Prano Se Bhi Pyara,
Dadi Dham Tumhara,
Darshan Kar Ho Jata,
Ye Jivan Saphal Hamara,
Tune Sabko Tara,
Sabka Jivan Sawara,
Tere Bin Koun Dadi,
Hum Bhakto Ka sahara ॥
प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्राणो से भी प्यारा, दादी धाम तुम्हारा, दर्शन कर हो जाता, ये जीवन सफल हमारा, तूने सबको तारा, सबका जीवन संवारा, तेरे बिन कौन दादी, हम भक्तों का सहारा ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Uche Parvat Gufa Nyari Jithe Maa Bhawan Bana Baithi

Unche, Parvat, Gupha Nyaari, Jahaan Maan, Bhavan Bana Baithi ॥

Bolo Jay Jaikare

Unche Unche Bhawanon Baithi Rup Anekon Dhare, Charan Chakari Kar Lo Bhaiya, Ho Jae Vare Nyare,
Bolo Jay Jaikare, Maa Ko Bolo jay Jaikare ॥

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa, Tumko Bulaya Hai Maa, Ye Baat Do Bata Do, Ye Bata Do Puja Main Koi, Kami To Nahi Kami To Nahi, Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa ॥

Is Dharti Par Swarg Se Sundar Hai Tera Darbar

Is Dharti Par Swarg Se Sundar, Hai Tera Darbar, Hum Par Rahe Barsata Yun Hi, Sada Tumhara Pyar,
Tumhara Pyar Na Ruthe, Tera Darwar Na Chute, Maa Tumhara Pyar Na Ruthe, Meri Parivar Na Tute ॥

Ambe Charan Kamal Hain Tere

Ambe Charan Kamal Hai Tere, Hum Bhaunren Hain Janam Janam Ke, Nisdin Dete Phere