Ram Ke Dulare, Mata Janki Ke Pyare (राम के दुलारे, माता जानकी के प्यारे - भजन)


Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram
Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram
Ram Ke Dulare,
Mata Janaki Ke Pyare,
Tumhe Naman Hajaro Baar Hai ।
Jai Bolo Bajrang Bali Ki,
Aaj Mangalvar Hai ॥

Mangal Ko Janme Mangal Moorti,
Hanumat Mangal Kari Hai ।
Maha Vishala Ati Vikarala,
Hanuman Baldhari Hai ।
Pavan Beg Se Udne Wale,
Manush Tej Raftaar Hai ।
Jai Bolo Bajrang Bali Ki,
Aaj Mangalvar Hai ॥

Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram
Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram

Siya Ke Sewak Das Ram Ke,
Sari Avadh Ke Pyare Hain ।
Deen Heen Sadhu Santo Ke,
Rakshak Hai Rakhware Hain ।
Treta Yug Se Is Kalyug Tak,
Ho Rahi Jai Jai Kaar Hai ।
Jai Bolo Bajrang Bali Ki,
Aaj Mangalvar Hai ॥

Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram
Jai Siyaram, Bolo Jai Siyaram

Mangal Ke Din Kyon Jaata Hai,
Mandir Mein Hanuman Ke ।
Shani Dev Ji Khush Rahite Hain,
Laki Us Insan Se ।
Uske Ab Avinash Ke Upar,
Kirpa Ki Bharmar Hai ।
Jai Bolo Bajrang Bali Ki,
Aaj Mangalvar Hai ॥

Ram Ke Dulare,
Mata Janaki Ke Pyare,
Tumhe Naman Hajaro Baar Hai ।
Jai Bolo Bajrang Bali Ki,
Aaj Mangalvar Hai ॥

हनुमान चालीसा | श्री हनुमान आरती | संकटमोचन अष्टक | बालाजी आरती | श्री राम स्तुति

◉ श्री हनुमंत लाल की पूजा आराधना में हनुमान चालीसा, बजरंग बाण और संकटमोचन अष्टक का पाठ बहुत ही प्रमुख माने जाते हैं।
राम के दुलारे, माता जानकी के प्यारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम के दुलारे, माता जानकी के प्यारे, तुम्हे नमन हजारो बार है..
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman PathHanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jayanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Aayo Faganiyo Albelo

Aayo Phaganiyo Alabelo, Baba Shyam Dhani Ko Melo, Chalyo Bhagata Ko Yo Relo, Khatu Shyam Ji, O Khatu Dham Ji ॥

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo Shyam Sahara Milta Hai

Man Mein Hai Vishwas Agar Jo, Shyam Sahara Milta Hai, Rota Hai Koi Shyam Ka Premi...

Sara Barsana Tera Deewana Hua

Teri Murli Ki Dhun, Humne Jabse Suni, Sara Barsana Tera Deewana Hua, Mili Tumse Najar, Meri Jab Saanware, Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥