Rama Rama Rato Karo Safal Umariya (रामा रामा रटो, करो सफल उमरिया - भजन)


Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥
Ai Prani Hai Teri Jindegani,
Ek Andhiari Raat Re,
Le Le Shahara Ram Naam Ka,
Jap Ki Maala Haath Re,
Saath Na Chute Ash Na Tute,
Ram Ka Hai Bada Kaam Re,
Rama Hi Bharenge,
Teri Bhakt Ki Gagariya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥

Ram Naam Ke Sagar Se Tu,
Bhar Le Ek Gagariya Re,
Is Paras Se Sona Kar Le,
Maan Ki Suni Nagariya Re,
Bade Bade Rshiyo Ne Hai Gaya,
Bas Ek Ram Ka Naam Re,
Sare Riste Jhuthe,
Sanche Ram Ki Sawariya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥

Bade Bade Guni Jaan Na Paye,
Ram Ki Leela Mahan Re,
Ram Hi Shristhi Ke Nirmata,
Ram Ko Pagle Jaan Re,
Rama Ko To Ram Hi Jane,
Jo Treta Avtar Hai,
Rama Rama Jape,
Sari Nagari Avadhiya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥

Do Akhyar Ke Naam Mein Dekho,
Tino Lok Samaye Hai,
Jo Bhi Inka Sumiran Karte,
Bhav Sagar Tar Jaye Hai,
Maryaada Jo Hai Sikhalate,
Aise Niraale Ram Hai,
Raghurai Bole,
Chahe Ram Rachaiya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥

Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya,
Mil Jayegi Dagar,
Jap Loge Jo Gar,
Prabhu Ram Ka Naam,
Ram Ka Naam,
Rama Rama Rato,
Karo Safal Umariya ॥
रामा रामा रटो, करो सफल उमरिया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
रामा रामा रटो, करो सफल उमरिया, मिल जाएगी डगर, जप लोगे जो गर, प्रभु राम का नाम, राम का नाम, रामा रामा रटों, करो सफल उमरिया ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki

Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki, Phoolon Ki Barish Yaha Pe Ho Rahi, Krupa Ho Gae Aaj Shree Bhagvan Ki, Daal Rahi Varmala Ab To Janaki, Jay Bolo Jay Bolo Shitaram Ki ॥

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol

Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol, Mat Bhaiya Ko Rula Re Bol kuch Bol, Bhaiya Bhaiya Kaha Ke,Bhaiya Bhaiya Kaha Ke, Rash Prano mein Ghol, Mere Lakhan Dulare Bol Kachhu Bol ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..