Sankat Mein Lakshman Hai Shree Ram Ne Maan Liya (संकट में लक्ष्मण है, ये राम ने मान लिया - भजन)


Sankat Mein Lakshman Hai,
Ye Ram Ne Maan Liya,
Sanjeevani Lane Ka,
Hanuman Ko Kaam Diya,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe ॥
Shree Ram Ne Lakshman Ko,
Godi Mein Sulaya Hai,
Asuvan Ki Dhaara Se,
Jakhmo Ko Bhigoya Hai,
Shree Ram Ke Aansu Ne,
Amrt Ka Kaam Kiya,
Sanjeevani Lane Ka,
Hanuman Ko Kaam Diya,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe ॥

Shree Ram Ka Lakshman Ne,
Pag Pag Par Saath Diya,
Vo Chhod Ke Sab Vaibhav,
Bhae Sang Van Mein Gaya,
Shree Ram Ne Lakshman Ke,
Tyaago Ko Yaad Kiya,
Sanjeevani Lane Ka,
Hanuman Ko Kaam Diya,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe ॥

Sanjeevani Laakar Ke,
Lakshman Ko Bachaaya Hai,
Hanuman Ne Raghukul Ke,
Sankat Ko Mitaaya Hai,
Sankat Mochan ‘Keshav’,
Shree Ram Ne Naam Diya,
Sanjeevani Lane Ka,
Hanuman Ko Kaam Diya,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe ॥

Sankat Mein Lakshman Hai,
Ye Ram Ne Maan Liya,
Sanjeevani Lane Ka,
Hanuman Ko Kaam Diya,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe,
Ram Ki Aankhon Se Aansu Bahe ॥
संकट में लक्ष्मण है, ये राम ने मान लिया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
संकट में लक्ष्मण है, ये राम ने मान लिया, संजीवनी लाने का, हनुमान को काम दिया, राम की आँखों से आंसू बहे, राम की आँखों से आंसू बहे ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥