Shamshano Ke Vasi Ho Bhuto Ka Hai Sath (शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ - भजन)


Shamshano Ke Vasi Ho,
Bhuto Ka Hai Sath,
Tera Ganga Kinare Dera,
Tera Ganga Kinare Dera,
O Baba Bhutnath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥
Devon Mein Mahadev Ho Baba,
Sari Duniya Dhyati Hai,
Sradha Se Charanon Main Tere,
Aakar Shish Jhukati Hai,
Jo Paav Pakad Le Tere,
Jo Paav Pakad Le Tere,
Tu Pakde Unke Haath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Shrashti Ke O Sirajanahare,
Tere Dhang Nirale Hai,
Devon Ki Raksha Ke Khatir,
Pita Vish Ke Pyale Hai,
Hum Bhole Bhakton Ka Tu,
Hum Bhole Bhakton Ka Tu,
Rakhshak Hai Bholenaath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Somavar Ko Tera Darshan,
Bahut Badi Subhkari hai,
Teri Daya Se Hum Bhakto Ki,
Katati Bipada Sari Hai,
Is ‘Harsh’ Ka Bhole Baba,
Is ‘Harsh’ Ka Bhole Baba,
Tu Dena Hardum Saath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥

Shamshano Ke Vasi Ho,
Bhuto Ka Hai Sath,
Tera Ganga Kinare Dera,
Tera Ganga Kinare Dera,
O Baba Bhutnath,
Shamasanon Ke Vasi Ho,
Bhuton Ka Hai Saath ॥
शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शमसानो के वासी हो, भूतों का है साथ, तेरा गंगा किनारे डेरा, तेरा गंगा किनारे डेरा, ओ बाबा भूतनाथ, शमसानों के वासी हो, भूतों का है साथ ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Uche Parvat Gufa Nyari Jithe Maa Bhawan Bana Baithi

Unche, Parvat, Gupha Nyaari, Jahaan Maan, Bhavan Bana Baithi ॥

Bolo Jay Jaikare

Unche Unche Bhawanon Baithi Rup Anekon Dhare, Charan Chakari Kar Lo Bhaiya, Ho Jae Vare Nyare,
Bolo Jay Jaikare, Maa Ko Bolo jay Jaikare ॥

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa

Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa, Tumko Bulaya Hai Maa, Ye Baat Do Bata Do, Ye Bata Do Puja Main Koi, Kami To Nahi Kami To Nahi, Tera Darbar Humne Sajaya Hai Maa ॥

Is Dharti Par Swarg Se Sundar Hai Tera Darbar

Is Dharti Par Swarg Se Sundar, Hai Tera Darbar, Hum Par Rahe Barsata Yun Hi, Sada Tumhara Pyar,
Tumhara Pyar Na Ruthe, Tera Darwar Na Chute, Maa Tumhara Pyar Na Ruthe, Meri Parivar Na Tute ॥

Ambe Charan Kamal Hain Tere

Ambe Charan Kamal Hai Tere, Hum Bhaunren Hain Janam Janam Ke, Nisdin Dete Phere