Tere Pujan Ko Bhagwan (तेरे पूजन को भगवान, बना मन मंदिर आलीशान - भजन)


In Uttar Pradesh's Vraj region this is a famous bhajan, sang by the Mahila Bhajan Mandali with Dholak.
Tere Pujan Ko Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ।

Kisne Jani Teri Maya,
Kisne Bhed Tumhara Paya ।
Hare Rishi Muni Kar Dhyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Tu Hi Jal Mein Tu Hi Thal Mein,
Tu Hi Man Mein Tu Hi Van Mein ।
Tera Rup Anup Mahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Tu Har Gul Mein Tu Bulbul Mein,

Tu Har Dal Ke Har Patan Mein ।
Tu Har Din Mein Murtiman,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Tune Raja Rank Banae,
Tune Bhikshuk Raj Baithaye ।
Teri Lila Ajab Mahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Jhuthe Jag Ki Jhuthi Maya,
Murakh Isamen Kyon Bharmaya ।
Kar Jivan Ka Shubh Kalyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Tere Pujan Ko Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ।

---- Extra Lines ----

Kis Ne Dekhi Teri Surat,
Kaun Banave Teri Murat ।
Tu Hai Nirakar Bhagwan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Parvat Ghati Nadi Samandar,
Tu Ramta in Sab Ke Andar ।
Tere Bas Mein Sakal Jahan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Tu Hain Van Mein, to Pranan Mein,
Tu Taru Taru Ke Patan Mein ।
Koi Na Duja Tere Saman,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Jal Mein Thal Mein Tu Hi Samaya,
Sab Jag Tera Jalva Chhaya ।
Tu Hai, Ghat Ghat Ke Darmiyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥

Suraj Teri Mahima Gave,
Chanda Tujh Par Bali Bali Jave ।
Ishwar Kar Sab Ka Kalyan,
Bana Man Mandir Alishan ॥
तेरे पूजन को भगवान, बना मन मंदिर आलीशान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे पूजन को भगवान, बना मन मंदिर आलीशान। किसने जानी तेरी माया...
Bhajan Shri Ram BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanTripti Shaqya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shivoham Shivoham Shivoham

Hai Ek Onkar Niranjan Nirankar,
Hai Ajar Amar Aakar
Vishwadhara Man Bhaje ।

Chadha Le Lota Jal BHar Ke

Chadha Le Lota Jal Bhar Ke, Tera Kalyan Ho Jaye, Kantili Rah Jivan Ki, Teri Aashan Ho Jaye, Chadha Le Lota Jal Bhar Ke, Tera Kalyan Ho Jaye ॥

Chal Re Kanwariya Shiv Ke Dham

Chahe Chaye Ho Badal Kale, Chahe Pao Mein Pad Jaye Chale, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Chahe Aag Gagan Se Barse, Chahe Pani Ko Maan Tarse, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Chal Re Kavadia Shiv Ke Dham, Bol Bam Bol Bam Bol Bam Bol, Tera Kuch Na Lagega Mel ॥

Guru Shiv Ko Bana Lijiye

Guru Shiv Ko Bana Lijie, Bhakti Se Ghar Saja Lijiye ॥ Kar Nahin Hai to Lachar Hai,...

Kholo Samadhi Bhole Shankar Mujhe Darsh Dikhao

Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao, Iss Jag Ki Jhoothi Maya, Se Mujhko Bachao, Kholo Samadhi Bhole Shankar, Mujhe Darash Dikhao ॥