Tod Tod Maniya Mala Fek Rahe Hanuman (तोड़ तोड़ मणिया माला, फेक रहे हनुमान: भजन)


Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman,
Kar Diya Vivishan Ka Pal Main,
Kar Diya Vivishan Ka Pal Main,
Chur Chur Abhiman,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥
Dibya Alokik Moti Mala,
Shree Ram Ko Bhent Mili,
Shree Ram Ne Moti Mala,
Haath Main Sita Ke Rakh Di,
Kaha Vivishan Ne Sita Se,
Kaha Vivishan Ne Sita Se,
Rakhna Iska Dhyan,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥

Bhari Sabha Mein Sita Maa Ne,
Hanumat Ko Mala De Di,
Hanumat Ne Kuchh Dhundha Usame,
Phir Tukade Tukade Kar Di,
Bade Krodh Se Bole Vibhishan,
Bade Krodh Se Bole Vibhishan,
Hua Mera Apamaan,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥

Ram Ne Pucha Hanuman Se,
Kahe Ko Mala Todi,
Hanumat Bole Siyaram Ki,
Ismein Nahi Dikhti Jodi,
Jis Moti main Mere Ram Nahi,
Jis Moti main Mere Ram Nahi,
Wo Moti Hai Pasan,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥

Gar Sine Mein Ram Hai Tere,
Mujhako Dikhao Tum Bala,
Itana Sunakar Hanumaan Ne,
Sina Phaad Dikha Dala,
Kahe ‘Shyaam’ Ki Darshan Karalo,
Kahe ‘Shyaam’ Ki Darshan Karalo,
Sine Mein Hai Siyaaram,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥

Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman,
Kar Diya Vivishan Ka Pal Main,
Kar Diya Vivishan Ka Pal Main,
Chur Chur Abhiman,
Tod Tod Maniya Mala,
Phek Rahe Hanuman ॥
तोड़ तोड़ मणिया माला, फेक रहे हनुमान: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तोड़ तोड़ मणिया माला, फेक रहे हनुमान, कर दिया विभीषण का पल में, कर दिया विभीषण का पल में, चूर चूर अभिमान, तोड़ तोड़ मणियाँ माला, फेक रहे हनुमान ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥