Trishna Na Jaye Man Se (तृष्णा ना जाए मन से - भजन)


Trishna Na Jaye Man Se ॥
Doha – Mathura Vrindavan Saghan,
Aur Yamuna Ke Teer,
Dhanya Dhanya Mati Sughar,
Dhanya Kalindi Neer ॥
Krishna Bolo Krishna,
Hare Krishna Radhe Krishna ॥

Trishna Na Jaye Man Se,
Krishna Na Aaye Man Mein,
Jatan Karoon Main Hajaar,
Kaise Lagegi Naiya Paar,
Ghanshyam Ji,
Kaise Lagegi Naiya Paar ॥

Ik Pal Maya Saath Na Chhode,
Jidhar Jidhar Chahe Mujhe Mode,
Hari Bhakti Se Hari Poojan Se,
Mera Rishta Naata Tode,
Maya Na Jaye Man Se,
Bhakti Na Aaye Man Mein,
Jeevan Na Jaye Bekaar,
Kaise Lagegi Naiya Paar,
Mere Shyam Ji,
Kaise Lagegi Naiya Paar ॥

Kshama Karo Mere Girivar Dhari,
Chanchalta Man Ki Lachari,
Lagan Jaga Do Man Mein Swami,
Tum Ho Prabhu Ji Antaryami,
Man Na Bane Anuragi,
Bhavna Bane Na Tyagi,
Daya Karo Kartaar,
Kaise Lagegi Naiya Paar,
Ghanshyam Ji,
Kaise Lagegi Naiya Paar ॥

Trishna Na Jaye Man Se,
Krishna Na Aaye Man Mein,
Jatan Karoon Main Hajaar,
Kaise Lagegi Naiya Paar,
Ghanshyam Ji,
Kaise Lagegi Naiya Paar ॥
तृष्णा ना जाए मन से - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तृष्णा ना जाए मन से, कृष्णा ना आये मन में, जतन करूँ मैं हजार, कैसे लगेगी नैया पार, घनश्याम जी, कैसे लगेगी नैया पार ॥
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam Bhajan

Other Popular Trishna Na Jaye Man Se Video

Sabse Unchi Prem Sagai By Jaya Kishori

Sabse Unchi Prem Sagai By Shri Devkinandan Thakur Ji

Sabse Unchi Prem Sagai Srishti Bhandari

Sabse Unchi Prem Sagai By Varsha Shrivastava

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bade Bhag Se Fagun Aayo Ri

Bade Bhag Se Phagun Aayo Ri, Hori Khelungi Shyaam Sang Jaay

Ek Bholi Bhali Kanya

Ek Bholi Bhali Kanya, Parvat Se Bhakto Aae, Sir Pe Uske Laal Chunariya, Nainna Jot Samae, Haatho Main Hai Laal Chuda, Paao Main Payal Bhae, Sir Pe Uske Laal Chunariya, Nainna Jot Samae ॥

Meri Chunri Mein Pad Gayo Dag Ri

Meri Chunri Mein Pad Gayo Daag Ri, Kaiso Chatak Rang Daro, Shyam Meri Chunri Mein Pad Gayon Daag Ri..

Maa Ki Mahima Aprampaar

Maan Ki Mahima Aparampar, Bhagat Ke Kasht Mitati Hai..

Rang Barse Bheege Hai Brijbala Rang Barse

Rang Barse Bheege Hain Brijbala, Rang Barse , O Rang Barse Bheege Hain Brijbala, Rang Barse..