Uche Parvat Gufa Nyari Jithe Maa Bhawan Bana Baithi (ऊँचे पर्वत गुफा न्यारी जहाँ मां भवन बना बैठी: भजन)


Unche, Parvat, Gupha Nyaari,
Jahaan Maan, Bhavan Bana Baithi ॥
Darshan, Karti Hai... Jay Ho ॥
Duniya Saari,
Jahaan Maan, Jyot Jaga Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari...
Tere, Dekhe Rang Nyaare,
Maan Tu, Laakhon Paapi Taare ॥
O Sangaten, Bolen... Jay Ho ॥
Jay Jaykaare,
Sinh Par, Aasan Laga Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari...

Jhoole, Laal Maiya Ka Jhanda,
Bahati, Charnon Mein Ganga..
O Mathe, Tilak... Jay Ho ॥
Lagaya Chanda,
Sheesh Par, Mukut Saja Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari...

Chooda, Laal Rang Ka Pahna,
Dekhi, Ajab Hai Teri Maaya ॥
O Aasan... Jay Ho ॥
Gupha Mein Lagaaya,
Sohani Maan, Khel Racha Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari...

Mehndi, Laal Rang Ki Lagai,
Sir Par, Chunri Laal Sajai ॥
O Sangat... Jay Ho ॥
Darshan Karne Aai,
Maan Tu, Mauj Laga Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari...

Maiya, Karati Sher Sawari,
Hamen, Lagati Badi Pyaari ॥
O Maiya... Jay Ho ॥
Darshan De Ek Baari,
Mujhe Kyon, Yaad Bhula Baithi ॥
Unche, Parvat, Gupha Nyaari…
ऊँचे पर्वत गुफा न्यारी जहाँ मां भवन बना बैठी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऊँचे, पर्वत, गुफा न्यारी, जहाँ मां, भवन बना बैठी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Chit Charno Mein Baba Ke Laga Le

Chit Charno Mein Baba Ke Laga Le Nasiba Tere Jag Jayege, Saye Apne Nasiba Jaga Le Nasiba Tere Jag Jayege ॥

Bhajan: Bhari Unki Ankho Mein Hai Kitni Karuna

Bhari Unki Ankho Mein Hai, Kitani Karuna, Jakar Sudama Bhikari Se Poochho...

Jai Bolo Jai Bolo Jai Hanuman Ki

Jai Bolo Jai Bolo Jai Hanuman Ki, Sankat Mochan Karuna Dayanidhan Ki, Hanuman Ki Jai Vidyavan Ki Jai...