Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai (उनकी रेहमत का झूमर सजा है - भजन)


Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai ।
Murliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥
Meri Jholi Bhi Sarkar Bhar Do,
Apne Sab Ki Jholi Bhari Hai,
Apni Mahaphil Se Bhejo Na Khaali,
Apne Sabki Jholi Bhari Hai ॥

Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai ।
Murliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥

Mujhko Mehsoos Yah Ho Raha Hai,
Teri Mahphil Mein Karuna Bhari Hai,
Apni Mehfil Mein Karuna Bharsa Do,
Kamliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥

Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai ।
Murliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥

Tume Apna Samajne Mein Aaya,
Mangne Ko to Duniya Padi Hai,
Mujhe Apna Samaj Ke Daya Kar,
Teri Mehfil Mein Karuna Bhari Hai ॥

Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai ।
Murliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥

Tere Dar Se Na Koi Khali,
Apne Sab Ki Jholi Bhari Hai,
Meri Jholi Bhi Sarkar Bhar Do
Apne Sab Ki Jholi Bhari Hai ॥

Unki Rehmat Ka Jhoomar Saja Hai ।
Murliwale Ki Mahphil Saji Hai ॥

Shyam Radhe Radhe, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Shyam Radhe Radhe, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Shyam Radhe Radhe, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Kunj Mein Biraje, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Kunj Mein Biraje, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Kunj Mein Biraje, Ghanshyam Radhe Radhe ।
Shri Vrindavan, Radhe Radhe ।
Shri Vrindavan, Radhe Radhe ।
Shri Vrindavan, Radhe Radhe ।
उनकी रेहमत का झूमर सजा है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
उनकी रेहमत का झूमर सजा है । मुरलीवाले की महफिल सजी है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanJanmashtami BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanFagan Mela BhajanShri Shayam BhajanAnil Hanslas Bhaiya Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mere Uthe Virah Me Pir

Mere Uthe Virah Me Pir, Sakhi Brundaban Jaungi, Murali Baje Yamuna Tir, Sakhi Brundaban Jaungi ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Tadapata Hai Tera Ye Daas Sambhalo

Chale Aao, Tadapta Hai Tera Ye Daas Sambhalo, Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo ॥

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke

Hum Hath Utha Kar Kehte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke, Hum Shish Jhuka Kar Kahte Hai, Hum Ho Gaye Khatu Wale Ke ॥

Sri Sad-Goswamyastakam

Krishnotkirtan-gan-nartan-parau Premamritambhonidhi, Dhiraadhirjan-priyou Priyakarau Nirmatsarau Pujitou ।