Utho Sone Walo Sabera Hua Hai (उठो सोने वालों सबेरा हुआ है - भजन)


Utho Sone Walo Sabera Hua Hai ।
Watan Ke Phakiron Ka Phera Hua Hai ॥
Utho Ab Nirasha Nisha Kho Rahi Hai
Sunhali-si Purab Disha Ho Rahi Hai
Usha Ki Kiran Jagmagi Ho Rahi Hai
Vihangon Ki Dhwani Nind Tam Dho Rahi Hai
Tumhen Kislie Moh Ghera Hua Hai
Utho Sone Walo Sabera Hua Hai ॥

Utho Budhon Bachchon Watan Daan Mango
Jawano Nai Zindagi Gyan Mango
Pade Kislie Desh Utthan Mango
Shahidon Se Bharat Ka Abhiman Mango
Gharon Mein Dilon Mein Ujala Hua Hai ।
Utho Sone Walo Sabera Hua Hai ॥

Utho Deviyon Vakt Khone Na Do Tum
Jage to Unhen Phir Se Sone Na Do Tum
Koi Phoot Ke Beej Bone Na Do Tum
Kahin Desh Apman Hone Na Do Tum
Ghadi Shubh Mahurat Ka Phera Hua Hai ।
Utho Sone Walo Sabera Hua Hai ॥

Hava Kranti Ki Aa Rahi Le Ujali
Badal Jane Wali Hai Shasan Pranali
Jago Dekh Lo Mast Phulon Ki Dali
Sitare Bhage Aa Raha Anshumali
Darkhton Pe Chidiyon Ka Phera Hua Hai ।
Utho Sone Walo Sabera Hua Hai ॥

- Vanshidhar Shukl
उठो सोने वालों सबेरा हुआ है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
उठो सोने वालों सबेरा हुआ है । वतन के फकीरों का फेरा हुआ है ॥ उठो अब निराशा निशा खो रही है..
Bhajan Arya Samaj BhajanYoga Day BhajanYoga BhajanYog Diwas BhajanInternational Yoga Day BhajanBaba Ramdev Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr