Yahi Wo Tantra Hai Yahi Wo Mantra Hai (यही वो तंत्र है यही वो मंत्र है - भजन)


Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥
Kabhi Yogi Kabhi Jogi,
Kabhi Baal Brahmachari,
Kabhi Aadi Dev Mahadev Tripurari,
Kabhi Shankar Kabhi Shambhu,
Kabhi Bhole Bhandari,
Naam Hai Anant Tore Jag Balhaari,
Shiv Ka Naam Lo Subah Shaam Lo,
Gaate Raho Jab Tak Dam Mein Hai Dam,
Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥

Daksh Prajapati Jab Hunkara,
Tirshool Se Sheesh Utara,
Maafi Mangi Hosh Mein Aaye,
Bakre Ka Tab Sheesh Lagaayo,
Aashutosh Bhole Baba Bhaye Parsan,
Bakare Ne Mukh Se Jo Boli Bam Bam,
Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥

Kala Tit Kalyan Kalpant Kaari,
Sada Sant Dayanand Daata Purari,
Chita Nand Samhoh Mohe Parari,
Prasiddh Prasiddh Prabhu Manma Thaari,
Dhyaan Lagai Ke Jyot Jalai Ke,
Shiv Ko Pukarte Chalo Ji Har Dam,
Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥

Khel Rahi Hai Jata Ganga,
Baaje Damru Pikar Bhanga,
Khappar Khaal Baaghambar Anga,
Mero Bhola Mast Malanga,
Guru Daash Maange Teri Nazre Karam,
Bhakto Pe Kar Do Baba Karam,
Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥

Bam Bhole Bam Bhole Bam Bam Bam,
Yahi Wo Tantra Hai Yahi Vo Mantra Hai,
Prem Se Japoge to Mitenge Saare Gam ॥

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
यही वो तंत्र है यही वो मंत्र है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
बम भोले बम भोले बम बम बम, यही वो तंत्र है यही वो मंत्र है, प्रेम से जपोगे तो मिटेंगे सारे गम ॥
Bhajan Jyotirling BhajanShiv Ji BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanSawan Mahina Somvar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Ram Gayi Maa Mere Rom Rom Main

Ram Gayi Maa Mere Rom Rom Me, Meri Sanso me Ambe Ke Naam Ki Dhara Bahti, Isliye to Meri Jihva Har Samay Ye Kahti...

Sherawali Ki Nazar Jispe Padne Lagi

Sherawali Ki Nazar Jispe Padne Lagi, Jispe Padne Lagi, Dekho Taqdir Uski Sanvarne Lagi, Sanvarne Lagi ॥

Aaye Maiya Ke Navrate

Aaye Maiya Ke Navrate, Ho Rahe Ghar Ghar Mein, Ho Rahe Ghar Ghar Mein Jagrate, Rijhate Maiya Ko, Rijhaye Maiya Ko Jhoomte Gaate, Goonj Rahi Bhakto Ki, Goonj Rahi Bhakto Ki Jai Jaikar, Saja Hai Mata Ka, Saja Hai Mata Ka Darbar ॥

Meri Aas Tu Hai Maa Vishwas Tu Hai Maa

Meri Aas Tu Hai Maa, Vishwas Tu Hai Maa, Meri Har Khusi Ka Ab, Agaj Tu Hai Maa, De De Maa Anchal Ki Chaiyan Mujhe, Le Le Maa Bahon Main Apni Mujhe ॥